Pehle ke price history ko dekha jaye to ek bearish power candle ne ab tak ke bearish movement ko drive kiya hai. Uske baad ka chhota reaction asal mein ek bearish trend continuation pattern lag raha hai. Agar traders ab instant sell option kholna chahte hain, to 0.6692 ke upar stop loss rakhna aur profit-taking target 0.6600 se 0.6570 tak banana faida mand ho sakta hai. Aakhri trading sessions mein price ke closing farq ke neeche rehne ka matlub yeh hai ke market abhi tak pressure mein hai. Is situation ko dekhte hue sell transaction karna achi option lagti hai, kyun ke lagta hai ke sellers ke liye prices ko aur neeche push karna mumkin hoga. Australian data is hafte mein koi khaas release nahi hui, lekin US data ke akhir mein release hone ke imkaanaat hain. Saath hi European Central Bank's (ECB) ka interest rate decision Thursday ko pair ke exchange rate par asar andaz raha. Hafte ke aaghaz mein, AUD/USD ne Fibonacci 36.1% retracement level ke qareeb consolidation ki, aur hafte ke akhir tak ECB ke decision aur mixed US data ke asar se Australian dollar ne ooper movement ki aur pair Thursday ko 23.5% Fibonacci level tak barh gaya Agle Thursday ko Australian employment data aur unemployment rate release hogi, lekin is hafte ke aaghaz mein Federal Reserve ka interest rate decision pair par zyada gehra asar dal sakta hai. In factors ko dekhte hue, pair ka 0.6769 tak barhna mumkin hai, jo ke ek achi short position ka moqa faraham karta hai kyun ke stochastic indicator ne neeche ki taraf ishara diya h
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим