European market mein GBP/USD ki price mein kaafi izafa dekhne ko mila, jo 1.31043 tak pohnchi. Yeh izafa is wajah se hua ke Pound Sterling ka exchange rate mazid mazboot ho gaya jab se **Claimant Count Change** (jo unemployment benefit claimants ki tadaad ko dikhata hai) mein 23 hazaar logon ki kami hui, aur unemployment rate 0.1% kam ho gaya. Iss wajah se GBP/USD ki movement mein izafa dekhne ko mila. Lekin yeh izafa zyada dair tak qaim na reh saka, kyunki Average Earnings Index UK ka 4% gir gaya, jis se GBP/USD ki price doobara se gir ke 1.30854 par aa gayi, jo ke 7 pips ka nuqsan hai. Meri aaj ki fundamental analysis ke mutabiq, GBP/USD ke movement ko dekhte hue mein ab bhi isay SELL karna behtar samjhta hoon, aur meri target price 1.30500 hai. Agar technical analysis se dekha jaye, toh lagta hai ke GBP/USD ki price aur zyada gir ke 1.3000 tak ja sakti hai. H1 time frame mein bearish candle engulfing ban chuki hai, jo ke ek strong signal hai SELL ka, aur is se GBP/USD ki price 1.3000 tak gir sakti hai. Lekin humein upward correction ka bhi khayal rakhna chahiye, kyun ke RSI 14 indicator ke mutabiq, 1.30560 par GBP/USD oversold ho chuki hai, matlab yeh ke selling kaafi zyada ho chuki hai, aur is se lagta hai ke GBP/USD ki price aaj 1.31100 tak wapas barh sakti hai. BUY ka signal SNR aur Fibonacci methods se bhi support ho raha hai, kyun ke jab price 1.30620 par thi, toh yeh RBS area (Resistance Become Support) mein thi, jahan se buyers isay wapas khareed sakte hain aur price 1.31100 tak le ja sakte hain. Technical analysis ke mutabiq, aaj mein BUY karne ka plan kar raha hoon, aur meri target price 1.31100 hogi.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим