USD/JPY pair ne kal apna aik strong buy resistance level tod dia hai ap mere chart par dekh rahy hongy jo bullish momentum ka indication de raha hai aur ab market neeche se aik order block ke pass hai jahan se price wapas upar ja sakti hai 50 ki EMA market price se neeche hai jo buying ka support provide kar rahi hai aur yeh dikhata hai ke trend bullish hai RSI bhi 50 level se thora upar hai jo momentum ko bullish side par support kar raha hai agar price order block se bounce karti hai to next resistance jo 157.87 ke qareeb hai wahan tak pohchne ka imkaan hai lekin agar price order block ko todti hai to neeche 156.50 ka level ek significant support ban sakta hai jis par buyers wapas market control hasil karne ki koshish karenge filhal market structure bullish hai aur agar price order block se rejection leti hai to continuation move expect kiya ja sakta hai price action indicators aur candlestick patterns ko dekhna zaroori hoga taake confirmation mile ke bullish trend barqarar hai ya nahi fundamental tor par US dollar ki strength aur Japan ki monetary policy bhi pair par asar dal sakti hai agar US economic data positive aata hai to USD/JPY further bullish momentum hasil kar sakta hai lekin agar yen majboot hota hai to market consolidation ya chhoti retracement dekh sakti hai filhal price action aur moving averages dono bullish bias dikhate hain aur jab tak price 50 EMA ke upar rehti hai tab tak buyers ka control qaim rehne ka imkaan hai agar RSI aur upar move karta hai to bullish momentum mazid strong ho sakta hai lekin agar RSI wapas 50 level ke neeche girta hai to bearish pressure barhne ka imkaan ho sakta hai traders ke liye behtareen strategy yeh ho sakti hai ke order block ke aas paas buying opportunities ko dekhain aur breakout confirmation ka intezar karain agar price support levels ko todti hai to bearish scenario ko consider karna zaroori hoga overall USD/JPY pair bullish trend mein hai lekin resistance zones par price action ka observation karna zaroori hai taake strong breakout aur reversal dono scenarios ko samjha ja sake.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим