USD/JPY ایکسچینج ریٹ: آج کی قیمت اور مارکیٹ تجزیہ

No announcement yet.
`

USD/JPY ایکسچینج ریٹ: آج کی قیمت اور مارکیٹ تجزیہ

Theme: Usd/jpy
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #12931 Collapse

    USD/JPY H1 Analysis:
    Is chart ke mutabiq, USD/JPY ka price pichle chand dino se downward trend mein tha, jo 151.74 tak stabilize hua hai. Chart par dekhne se maloom hota hai ke price ne apne recent low 150.65 par support liya aur ab thoda recover kar raha hai. Price ab 151.74 ke kareeb trade kar raha hai, jo is waqt ek critical level hai.
    Indicators ka Analysis:
    MACD indicator bearish momentum dikhata raha hai, lekin ab divergence ka signal nazar aaya hai, jo rebound ki nishani ho sakti hai. Ye is baat ki taraf ishara kar raha hai ke market mein selling momentum kam ho raha hai aur bullish momentum shuru ho sakta hai. RSI indicator bhi oversold zone se bounce karta hua dikh raha hai aur ab 51.68 ke kareeb hai. Ye bullish correction ka signal de raha hai, lekin filhal koi confirm trend reversal ka ishara nahi hai.
    Key Levels:
    Agar price 151.80-152.00 ka resistance tod leta hai, to agla target 152.50 ya uske upar ho sakta hai. Lekin agar price phir se 151.00 ke niche aata hai, to market dobara 150.65 ke support zone ka test kar sakta hai. Is level ke break hone par price 150.00 tak gir sakta hai, jo agla strong support zone hoga.
    Trading Strategy:
    Aap is waqt carefully trade karein kyun ke price ek critical area mein hai. Agar bullish momentum barh raha ho, to buy entries 152.00 ke upar consider ki ja sakti hain, jahan RSI aur MACD ke signals strong ho rahe hon. Lekin agar price 151.00 ke niche girta hai, to bearish pressure mazid barh sakta hai. Is situation mein aap short trade plan kar sakte hain. Is waqt zaroori hai ke aap apne risk management ka khayal rakhein aur support/resistance levels ko follow karein. Indicators jaise ke RSI aur MACD ka analysis regularly karein taake accurate entry aur exit points ka pata chale.
    Yeh analysis aapko market ki current situation ko samajhne mein madad karega aur aap apni trading decisions ko iske mutabiq adjust kar sakte hain.


    Click image for larger version

Name:	image_5041138.jpg
Views:	0
Size:	52.7 کلوبائٹ
ID:	13205025
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #12932 Collapse

      USD/JPY ne US trading session ke dauran halka sa izafa dekha hai, jo zyadatar US Treasury yields, khas tor par 10 year note ki mazbooti ki wajah se hai.10 year Treasury yield lagbhag char basis points barh kar 4.104% tak pohanch gayi hai jo USD/JPY exchange rate ke saath positive taluq dikhati hai. Is barhawa ne pair ko 151.71 tak le gaya jo dikhata hai ke US economic data abhi bhi currency market par kaafi asar andaz dal raha haUSD/JPY pair abhi US Dollar ki strength aur Bank of Japan (BoJ) ke ehtiyaat pasand approach ke darmiyan balance kar raha hai. Ek taraf, US Dollar domestic economic data aur Federal Reserve ke cautious outlook ki wajah se mazboot hai. Doosri taraf, Yen ko BoJ ki dovish stance aur monetary policy tighten karne mein hichkichahat ki wajah se challenges ka samna hai. US aur Japan ke darmiyan monetary policy ka ye farq USD/JPY ke liye ek ahem driver hai.External factors bhi market sentiment ko asar andaz jaise ke China ki economy par pressure. National Development and Reform Commission (NDRC) ne China ki economy par downward pressure ka zikr kiya, jis ne investors ke risk appetite ko kamzor kiya hai. Is se global currency landscape aur bhi complex ho gaya hai, kyun ke risk sentiment ka asar currency flows par hota hai. Is ke ilawa, Japan ke Prime Minister Shigeru Ishiba ke halia bayan ne, jisme unhone kaha ke Japan filhal rate hikes ke liye mozoon environment mein nahi hai, Bank of Japan ki policy tighten karne ki salahiyat par sawalat utha diye hain.Technical analysis ke mutabiq, agar price 152.00 ke mark se neeche girti hai, toh 152.50 region mein buying interest trigger ho sakta hai, jo downside risks ko 150.60 ke round figure ke kareeb limit karega. Agar ye level break ho gaya, toh agla support zone 149.35 par hoga, aur secondary support levels 149.00 aur 148.50 ho sakte hain. Traders ko in levels par focus karna chahiye, kyun ke ye short-term direction ke liye critical indicators de sakte hain.Sellers ke liye zaroori hai ke wo price ko recent cycle low 151.35 se neeche le kar jayein, jo four-hour chart ke mutabiq ek ahem level hai. Agar ye level toot gaya, toh agla notable support Ichimoku cloud ke neeche 151.00 par hoga us ke baad Tenkan Sen 150.50 par ye technical indicators yeh faisla karne mein madadgar honge ke pair apni upward momentum barqaraar rakh sakta hai ya reversal ka imkan hai.
      Click image for larger version

Name:	Screenshot_2024_1128_143629.jpg
Views:	0
Size:	50.4 کلوبائٹ
ID:	13205031
       
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #12933 Collapse

        USD/JPY H4 Chart Analysis - 28 November 2024
        USD/JPY ka 4-hour chart downward trend ko reflect kar raha hai, lekin ab price recovery ki taraf badh rahi hai. Price ne 150.80 ke aaspaas support liya aur wahan se bullish candles dikhai de rahi hain. Is waqt price 151.90 ke aaspaas trade kar rahi hai, jo ek ahm zone hai. Parabolic SAR ke green dots bullish momentum ka signal de rahe hain, aur agar yeh momentum barqaraar rehta hai, toh agla resistance level 152.50 par nazar aa raha hai. Is level ke upar ka resistance 153.48 aur 154.06 ke qareeb hai. Dusri taraf, agar price neeche girti hai, toh 150.80 ka support dobara test ho sakta hai, jo filhal ek mazboot base lag raha hai.
        Stochastic Oscillator ki reading ab overbought zone ke qareeb hai, jo batata hai ke price short-term mein sideways ya retracement kar sakti hai. Lekin agar buyers ka pressure strong raha, toh price aglay resistance levels todne ki koshish karegi.
        Key Levels:
        Support: 150.80
        Resistance: 152.50, 153.48, 154.06
        Agar price 152.50 ke resistance ko todti hai aur uske upar close karti hai, toh bullish momentum barh sakta hai, aur price aglay levels, 153.48 aur 154.06 tak ja sakti hai. Lekin agar price 152.50 ko tod nahi pati, toh dobara girawat dekhne ko mil sakti hai.


        Click image for larger version

Name:	h4.jpg
Views:	0
Size:	123.9 کلوبائٹ
ID:	13205043
        Trading ke liye:
        152.50 ke breakout par buy ki position open ki ja sakti hai, lekin proper stop-loss lagana zaroori hai. Agar price neeche girti hai aur 151.50 ke neeche close hoti hai, toh short selling ka option consider kiya ja sakta hai. Yeh analysis short-term trading ke liye useful ho sakta hai. Apne risk ko manage karein aur market ki direction ko closely monitor karte rahen. Trading mein patience aur discipline kaafi ahm hain, isliye apne targets aur stop-loss ko hamesha plan karein.
         

        اب آن لائن

        Working...
        X