Forex Trading with GBP/USD
GBP/USD ke daily chart par nazar daalain to yeh market ki taaza halat aur trading ke liye aham levels ko samajhne ka acha zariya hai Filhal GBP/USD ka price 1.26101 hai, jo recent bullish trend ki nishani hai Pehle price 1.23237 ke support level tak gir gaya tha, lekin wahaan se rebound karke ab mazboot position mein hai. Moving averages ka analysis yeh dikhata hai ke short-term bullish momentum barqarar hai, kyunke 50-day moving average price ke neeche hai, lekin 200-day moving average abhi bhi price ke upar resistance ka kaam kar raha hai. Yeh baat market ke liye ek critical zone ka pata deti hai. Resistance 1.26800 par hai, aur agar price is level ko tod deta hai to agla target 1.27750 ho sakta hai, jo mazeed bullish strength ko confirm karega.
Dusri taraf agar price neeche girta hai to 1.25200 ka support level kaafi ahmiyat rakhta hai aur agar yeh tod diya jaye to price phir bearish zone mein chala jayega, jo phir 1.23237 tak test kar sakta hai. RSI (Relative Strength Index) ka level 61.89 hai, jo positive momentum ko dikhata hai lekin abhi overbought zone se door hai, is liye price ke aage barhne ki gunjaish hai. Kul mila ke yeh chart ek optimistic lekin ihtiyaat bhari tasveer dikhata hai. Traders ko 1.26800 ke breakout ka intezar karna chahiye, jabke support levels ka barabar jaiza lena zaroori hai. Moving averages aur RSI ke signals market ki direction samajhne ke liye madadgar hain, aur yeh waqt hai trading ke liye close monitoring ka.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим