Thursday ke din Purchasing Managers Index (PMI) data ki agli lehra aane se pehle, "fiber" gir gaya, jisse EUR/USD mein aik aur 0.5% ki kami dekhne ko mili Wednesday ke din. ECB ke policymakers ne economic concerns ko zyada highlight nahi kiya aur rate cut ke liye ihtiyaat baratne ka mashwara diya. Duniya bhar ka PMI data dheere dheere Thursday ko release hoga. Markets mein umeeed hai ke October ka EU Services PMI thoda sa barh kar 51.6 ho jayega, jab ke September mein ye 51.4 tha. Market ki predictions ke mutabiq, October ke liye US PMI data mix hoga. Manufacturing ka component thoda sa barh kar 47.5 hone ka andaza hai, jab ke services PMI thoda ghat kar 55.0 ho sakta hai. EUR/USD ka price 1.0780 support ke qareeb test kar raha hai aur girawat ka silsila barqarar hai. Price ka 200-day EMA ke neechay 1.0908 par girna aur 50-day EMA jo ke 1.0975 par hai, market ke negative sentiments ko zahi kar raha hai. Yeh pair ab bearish phase mein dikh raha hai aur sellers ka nishana 1.0750 support zone tak ki girawat hai. Agar yeh zone breach hota hai to yeh 1.0700 ke psychological level tak sell-off le ja sakta hai. MACD indicator bhi is wakt bearish territory mein hai, MACD line signal line ke neechay aur histogram negative values mein barh raha hai. Yeh sab kuch ye batata hai ke downward momentum mazid barqarar hai aur agar price recover karne ki koshish karega to usay sakht resistance ka samna ho sakta hai. Traders ko oversold conditions par nazar rakhni chahiye, lekin jab tak price moving averages ke neechay hai, negative bias barqarar rahegi. Agar price abhi ke level se recover hota hai to 1.0900 ka area shorting opportunities ke liye important hoga kyun ke wahan resistance mil sakti hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим