Assalam o Alaikum! Dear forex members, dear Forex per agar ham planning karke trading karenge to Ham apne losses ko kafi had Tak minimise kar sakte hain jaisa ke agar Ham planning mein main trade entry hamesha small lot size se le aur jab market hamari direction mein move karna start kar de to tab hi Ham apne lot size ko increase karen to is tarah ki planning se bhi Ham apne losses ko kafi minimise kar sakte hain kyunki agar market hamare adverse move karti hai to small lot size hone ki vajah se Ham bahut kam loss ke sath entry se nikal sakte hain lekin agar Ham planning karke Kam nahin karte to hamen shuru mein Hi padha loss hoga jiski vajah se agar market adverse move karti hai to Ham usse bachne ke liye bahut jyada loss karenge isliye agar Ham market ko analyse karne aur lot sizing calculation stop loss or risk management ko follow karke other planning karenge aur apni trade karenge to isase Ham kafi had Tak apni loss score cut off kar sakte hain aur apne profit ko maximize kar sakte hain isliye planning bahut jaruri hai aur is planning ko thik karne ke liye hamen demo account ko consistently use karna chahie kyon ke dam account Hi ek aisa account hai Jahan per Ham apni planning ko practically experience karke k ek acchi e skill develop kar sakte hain.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим