Forex Trading me bohut hi ziada risk hai is waja se Demo account pe practices k bagher trading nahi karni chaheye.Demo account aik behtareen sahulat hai forex trading me practice karne k leye. Demo account pe ap apni marzi ki raqam add karwa k us k zarye se trading kare seekhne ki. Is me jo raqam istemal hoti hai wo virtual hoti hai aur us ka user pe koi asar nahi parta. Demo account aur Real account ke Trading me koi faraq nahi hai bus demo account me virtual money istemal hota hai jab keh Real account me Real capital jama karna hota hai. Analysis hamare trading k leye bohut hi ziada aham hn, q k is se hi hum apne trading kamyab bana sakte hn. Forex Trading me demo account ka bhi istemal musalsal karna chaheye, q k hum is se apni ghaltion pe control karte hn. Demo account pe practices k bagher trading nahi karni chaheye.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим