Demo account pe agar aik taraf experience hasil hoti hai to dosri taraf ye hamare mistakes ko bhi bohut had tak kam karna hai. Mistakes kam khud bakhud nahi karta bulke hamare pas moqa a jata hai mistake ko khatam karne ki. Demo account aik behtareen sahulat hai forex trading me practice karne k leye. Demo account pe ap apni marzi ki raqam add karwa k us k zarye se trading kare seekhne ki. Is me jo raqam istemal hoti hai wo virtual hoti hai aur us ka user pe koi asar nahi parta. Demo account aur Real account ke Trading me koi faraq nahi hai bus demo account me virtual money istemal hota hai jab keh Real account me Real capital jama karna hota hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим