Dosto, agar ap meta trader 4 ko use kartay hain aur us may koi bhi indicator lagatay hain to us indicator ki window kuch is tarha say ati hay.
is may agar ap ghor karain to 4 tabs hotay hain, pahla common ka, dosra input ka, teesra color ka aur chotha visualization ka, kuch aisay indicators bhi hain jin may is say ziada hotay hain, lakin abhi ap ko in char tabs k baray may batana chahta ho.
Common: Is tab may sirf 2 option nazar a rahay hain, yeh option ap ko is lye diyay jatay hain k jo script wo indicator use karta hay aur jo programming wo use karta hay us ko allow kia jaye, aur agar wo koi file library say uthata hay to us ko bhi allow kia jaye, yeh technical option hain, aur kuch khas faraq nahi pata is say, is lye is par check laga rehnay dain, aur agar nahi laga to laga dain.
Input: Yeh bohat important hota hay, is may ap apnay indicator may jo bhi changes karna chahtay hain wo likh saktay hain, yani is ko hum indicator ki modification bhi keh saktay hain, jaisa keh is picture may likha hua hay. Har indicator ka input alag hota hay.
Color: Is tab may ap apnay indicator ki lines wagaira k color ko change kar saktay hain, yeh is lye zaroori hay keh agar ap k indicator may do ya do say ziada lines ho to ap ko pata chal sakay k konsi line kia kar rahi hay, dosri baat yeh k agar ap koi dosra indicator bhi use kar rahay ho sath may to us ki lines aur is ki lines alag alag color say identify ho sakay. jaisa keh is picture may dikhaya gaya hay.
Visualization: Yeh bhi aik important tab hay, is may ap ka by default to is picture may dekh saktay ho,
Lakin agar ap chaho to apni marzi k time frames bhi select kar saktay ho, jaisa keh All time k option par click karo gay to baqi k saray sections active ho jaye gay, jis section may nahi dekhna to us ko uncheck kar do.
I hope sab ko yeh thread pasand aye hogi. Any related comments are welcomed.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим