Dosto yeh indicator bohat kaam ka hay, is ko hum divergence wala indicator bhi keh saktay hain aur crossover wala bhi, yeh indicator ap ko ap k meta trader may hi available hoga, wha say ap ksi bhi chart par laga saktay ho. Is ko (Average Direction Movement Index) k name say talash karna to mil jaye ga.
Is ka kaam kia hay? is may teen tarha ki lines hoti hain jo ap ko market ko samajhnay may bohat madad dayti hain, may ap ko us ki picture k sath batata ho.
Aur neechay dekhain, aik chart par bhi laga hua hay, sab say neechay.
ab is may teen lines ap ko nazar arhi hain, aik to average ki line hay, dosri -DI ki hay aur teesri +DI ki, is may hum ko mukhtalif signals miltay hain, jaisa keh agar -DI agar oper jati hay to is ka matlab yeh hay keh bear candle form ho rahi hay, aur agar +DI oper jaye to pata chalta hay keh Bull candle form ho rahi hay, jab keh jo aik full line nazar a rahi hay wo average movement ki line hoti hay. -DI aur +DI ki lines dotted hoti hain, yani desh wali.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим