Dosto may aj ap logo ko yeh batana chahta ho keh strategy asal may hoti kia hay? aksar members ko yeh he pata nahi hota keh strategy akhir hay kia? aur wo log pochtay bhe nahi hain, jab k sawal karna chahiyay.
Strategy ka urdu may matlab to hikmat-e-amli hay, banda hikmat-e-amli say kaam us waqt layta hay jab har cheez hisab kitab say ho, strategy bhe hisab kitab ka name hay forex trading may, misal k tor par agar hum ksi chart ko analyze kartay hain to wo to analysis kehlti hay, lakin agay kia karain? Agay say he hikmat-e-amli start hoti hay, yani ap nay kaha say entry layna hay, kaha say exit karna hay, market may agar kuch changing ati hay to kia karna hay, market bear jatay jatay agar bull ho jaye to kia karna hay, yeh sab strategy ka hissa hota hay, is section may jab may apni koi strategy share karta ho to is ka matlab yeh hota hay keh market ko kis tarha say handle karna hay, kis tarha say samajhna hay, misal k tor par agar may 2 indicator ki strategy ap logo say share kar raha ho to is may sirf 2 indicators ki madad say market analysis shamil nahi hay, bal keh market ko analysis karnay k baad trading ki opportunity ko dhondna, trade lagana, profits kamana wagaira us may shamil hota hay, isi lye kaha jata hay keh strategy ki bohat ahmiat hoti hay, lakin yeh bhe yaad rahay keh koi aik strategy hamesha kargar nahi rehti, ap k pass lazmi multiple strategies hona chahiyay, jaisa keh agar ap fibonacci tool ko use kar k analysis kar rahay ho, aur trade bhe laga di, ab market against janay lagi to hedging ki strategy use kar lo, agar wo nahi kar rahay to phir indicators ko use kar k dekho keh market ka trend kaha ja raha hay, support / resistance ki madad say check kar lo keh break out false hay ya true.
Apni raye say agah karain. Shukria.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим