Aik asaan lakin bohat risky strategy

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Aik asaan lakin bohat risky strategy
    Dosto, kuch log is ko martingale kehtay hain, aur kuch log kuch aur, may history may nahi parna chahta, lakin may ap logo ko yeh batana chahta ho keh jo strategy may ap ko bata raha ho wo asaan to hay lakin risky bohat hay, may ap ko is ki details batata ho.

    Is strategy may ap kartay kuch is tarha hain keh koi bhi aik pair lay laytay hain, jis par ap ko lagta hay keh fluctuation bohat ziada hoti hay, ap us pair par thora sa dekhtay hain aur phir aik choti volume ki lot open kartay hain, agar market favor may chali jaye to profits collect kartay hain aur trade close, lakin agar market against chalnay lagay to ap apni lot k size ko double kar daytay hain, aur market k sath chal partay hain, Misal k tor par, ap Eur/usd lay lain, market may ap nay dekha k market oper ja rahi hay, ap nay 0.01 ki buy ki trade laga li, ab market thora bohat fluctuate hui aur neechay janay lagi, ab ap nay kia karna hay, ap nay 0.02 ki sell ki trade laga li, ab agar market neechay he jati rahi to ap ki 0.01 ka loss bhi cover ho jaye ga aur 0.01 ki sell ka profit bhi ajaye ga, lakin agar market nay yaha par bhi dhoka day diya aur again fluctuate kar k oper janay lagi to phir ap nay 0.03 ki buy ki trade lagani hay, aur market ka wait karna hay, isi tarha say yeh kaam chalta rahay ga, jab tak keh market koi aik trend lambay faslay k lye pakar nahi layti, lakin risky is tarha say hay keh jo bhi trade ap kholo gay to broker margin to lay ga he, aur spread ka loss bhe hoga, aur sath may dono trades k darmyan ka minus bhe to calculate hoga, is may risky pehlu yeh hay keh agar market sideways he rahi aur ap ko trend ka pata na chal saka to ap ka account blow up bhe ho sakta hay equity k na honay ki waja say.

    Yeh strategy ap us waqt use karna jab market ki volatility uncertain na ho, aur apna mind bana layna k ap loss ko afford kar saktay ho.
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Dear aap nay apni Post kay start may hi likh diya hat kay risky jab log iss risky ko partay hane to kahan aa ki stratagi par work kartay hane.
    • #3 Collapse

      Nice information. I think this strategy is risky but helpful in trading. But we need to be advance to use this strategy. Thanks for the nice information. Regards.
      • #4 Collapse

        اصل پيغام ارسال کردہ از: scapgray پيغام ديکھيے
        Dear aap nay apni Post kay start may hi likh diya hat kay risky jab log iss risky ko partay hane to kahan aa ki stratagi par work kartay hane.
        Dost, risky to har strategy hay, lakin yeh bohat ziada risky is waja say hay kyo keh is may account k janay ka khatra bhi bohat hota hay agar luck bohat ziada kharab ho to, is lihaz say risky keh raha ho, warna yeh bohat profitable strategy hay.
           
        • #5 Collapse

          bro post bohat achi ha es sy kafi info b mili ha but itna risk lyny ka har kice ka dil nahe karta lakin phir b try karna karna chaheya ku k es sy hamy kafi experians b mily ga or hamary knowldge mi b izafa ho ga. or es sy ham profit b gain kar skty ha
          • #6 Collapse

            bhi yeh to baht zabardat stragy ismain risk sirf deal ka he baqi to koi nhi he mare khial main hamain is trah trade krni chahey to hm kafi earn kr sakte hein.
            • #7 Collapse

              sir aap jo koe b busnise start karo gay wo aap k leya risky he hota hai online trading main yeh hota hai k aap ko souch samj k kam karna hota hai
              • #8 Collapse

                aap ne bohat ache strategy yahn share ki hai magar sir agar humray pass bonus zida nahe ho ga to hum lot size ko bara karty hain to us se hum agar aik tarf se profit hasil karty hain to dosri tarf hum loss nahe kar jay gay kia aur margine b kam ho jay ga humra yeh strategy achae hai magr risky b hai
                • #9 Collapse

                  bulkul g apki stratigy to theak hai. agr ap na risky ka word lakha hai to ya koi ajeeb bat nahe hai. qk forex risky business hai. mazeed hamain ya zahan main rakhana hai k heavy risk lead heavy investment
                  • #10 Collapse

                    اصل پيغام ارسال کردہ از: MMtrader پيغام ديکھيے
                    aap ne bohat ache strategy yahn share ki hai magar sir agar humray pass bonus zida nahe ho ga to hum lot size ko bara karty hain to us se hum agar aik tarf se profit hasil karty hain to dosri tarf hum loss nahe kar jay gay kia aur margine b kam ho jay ga humra yeh strategy achae hai magr risky b hai
                    Brother, ap nay sahi tarha say first post ko parha nahi hay, jab ap 0.01 ki loss par ja rahay hotay hain to ap 0.02 ki trade kholtay hain, lakin hedging may, matlb yeh hay keh agar ap nay buy ki 0.01 ki trade lagai hay to 0.02 ki sell ki trade lagao gay, agar market chalti rahi to ap ka 0.01 ka loss cover ho jaye ga aur profit may ajao gay, lakin agar market wha say bhe return ho jati hay to phir ap 0.03 ki trade kholo gay, us say ap ka 0.02 ka trade cover hoga aur 0.02 ki bachat hogi agar market chalti rahi to, matlab return na hui to.
                       
                    • #11 Collapse

                      it is the rule of economic markete hat when risk is high hen it will yield more result and profit.
                       
                      • #12 Collapse

                        thanks for this useful post , bro please tell us which level og volatility is benificial for us and which indicator should be used to check this volatility level.
                           
                        • #13 Collapse

                          ap ki sharing achi ha lakin mere khyal main agr ap best experience aor kisi achy sy teacher sy training ly kr aor trained ho kr trade krain to is main ap bht kuch earn kr skty hain. aisy main koi bhrosa nhi hota k kuch hasil ho ya na.
                          • #14 Collapse

                            bhai apki strategy bi achi hay.main pahlay is apki is strategy ko demo account main use karo ga.or demo account main 2 month is strategy say trading karo ga.ager mujay apki is strategy say is business main acha profit milta hay.to main apnay real account main bi is strategy ka use zaror karo ga..
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              thanks dear app ny achi strategy share ki hy, ap ny ess strategy m ek aheem baat ka zikar nh kiya ky ess strategy ky liye acccount kitna bara hoo or agar hum 0.01 ki lot sy start lyty nh tu app ky tajriby sy kitni ziyada lot open ho sakty hn ek waqt m? m ess ko zaror demo account py try karin ga baki sab members sy b meri guzarish ky ky ess strategy ko first m app demo py try karo ess ky baad real account m use karin.

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X