Aik asaan lakin bohat risky strategy

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #46 Collapse

    jii bhae ya aik boht hi caramad strategy hay lakin ya uss waqt sahi rahti hay jab hum na phali trade wrong lagie ho,yani market condition bearish thi lakin ham na sell ki strategy la ga di,so ab ham usa correct karna ka lia double buy ki trade laga data hain.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #47 Collapse

      bHAIYO ISS se to behtar ha k ap jowa khel lein. iss strategy main 80 % to risk ha, baki 20 % ka bhi tb faida ho jb ap aik constant volume ko follow karein
      • #48 Collapse

        Thanx apne bht achi strategy post ki ha ye thek ha icko hum hedging b keh sakty hn ic tara karny se hamara loss and profit dono hio controll me rehy hn ku k na hi hume zyada loss ho ga ic me and na hi zyada profit overall hmaara account safe rahy ga.
        • #49 Collapse

          ji ha bilkul thek kaha ha ap n ye strgty achy tu ha lekin risky bohat ha is m risk bohat ha ager hum risk lety ha tu humy loss ho ga humy is m risk nahi lena chahiya ye un k liya jin k pas bohat ziyada balnce ha un ko is s acah profet ho ga
          • #50 Collapse

            اصل پيغام ارسال کردہ از: aqipk1 پيغام ديکھيے
            bHAIYO ISS se to behtar ha k ap jowa khel lein. iss strategy main 80 % to risk ha, baki 20 % ka bhi tb faida ho jb ap aik constant volume ko follow karein
            Brother, yeh strategy risky bohat hay, is ka end account blow up ki sorat may nikalta hay, lakin baaz dafa yeh bohat acha profits day jati hay, ap agar is ko juwa kaho gay to ghalat na hoga. Kyo keh jis nay yeh strategy banai thi, wo juwari he tha.

            اصل پيغام ارسال کردہ از: hbk khan پيغام ديکھيے
            jii bhae ya aik boht hi caramad strategy hay lakin ya uss waqt sahi rahti hay jab hum na phali trade wrong lagie ho,yani market condition bearish thi lakin ham na sell ki strategy la ga di,so ab ham usa correct karna ka lia double buy ki trade laga data hain.
            Brother, is strategy k lye zaroori nahi hay keh pahli trade ghalat ho, yeh to ap ko foran say faisla karna hay keh ap nay hedge karna hay ya phir yeh strategy use karna hay, agar ap ki first trade sahi chali jati hay to ap us ko profit may close kar lo.

            اصل پيغام ارسال کردہ از: pak1 پيغام ديکھيے
            Thanx apne bht achi strategy post ki ha ye thek ha icko hum hedging b keh sakty hn ic tara karny se hamara loss and profit dono hio controll me rehy hn ku k na hi hume zyada loss ho ga ic me and na hi zyada profit overall hmaara account safe rahy ga.
            Meray bhai, yeh hedging nahi hay, lakin is may thori bohat hedging hogi, lakin hedging may ap hamesha equal volume ki trade open kartay ho, is may ap equal nahi, double volume open kartay ho.
               
            • #51 Collapse

              bhai hame forex me kum say kam apnay rik=sk ko karnay ki koshish karni chahye aur aap hame zyada risk wali baten bta rahay hain ye kaam aesa hai jiss me ham risk na b len to risk ho he jata hai.
              • #52 Collapse

                dear risk tu ek main part hai hr business ka aur risk le k hi insan kamyab hota hai ap ki strategy achi hai but jis ko jo suit krta hai apne knowledge k mutabik woh wohi follow krta hai agr business main risk na ho tu business kre kon risks k sath risk management ka bhi pta hona chahye insan ko safe aisi rkhni chahye k on down time kam aa jae
                • #53 Collapse

                  اصل پيغام ارسال کردہ از: abdullah2008 پيغام ديکھيے
                  Dosto, kuch log is ko martingale kehtay hain, aur kuch log kuch aur, may history may nahi parna chahta, lakin may ap logo ko yeh batana chahta ho keh jo strategy may ap ko bata raha ho wo asaan to hay lakin risky bohat hay, may ap ko is ki details batata ho.

                  Is strategy may ap kartay kuch is tarha hain keh koi bhi aik pair lay laytay hain, jis par ap ko lagta hay keh fluctuation bohat ziada hoti hay, ap us pair par thora sa dekhtay hain aur phir aik choti volume ki lot open kartay hain, agar market favor may chali jaye to profits collect kartay hain aur trade close, lakin agar market against chalnay lagay to ap apni lot k size ko double kar daytay hain, aur market k sath chal partay hain, Misal k tor par, ap Eur/usd lay lain, market may ap nay dekha k market oper ja rahi hay, ap nay 0.01 ki buy ki trade laga li, ab market thora bohat fluctuate hui aur neechay janay lagi, ab ap nay kia karna hay, ap nay 0.02 ki sell ki trade laga li, ab agar market neechay he jati rahi to ap ki 0.01 ka loss bhi cover ho jaye ga aur 0.01 ki sell ka profit bhi ajaye ga, lakin agar market nay yaha par bhi dhoka day diya aur again fluctuate kar k oper janay lagi to phir ap nay 0.03 ki buy ki trade lagani hay, aur market ka wait karna hay, isi tarha say yeh kaam chalta rahay ga, jab tak keh market koi aik trend lambay faslay k lye pakar nahi layti, lakin risky is tarha say hay keh jo bhi trade ap kholo gay to broker margin to lay ga he, aur spread ka loss bhe hoga, aur sath may dono trades k darmyan ka minus bhe to calculate hoga, is may risky pehlu yeh hay keh agar market sideways he rahi aur ap ko trend ka pata na chal saka to ap ka account blow up bhe ho sakta hay equity k na honay ki waja say.

                  Yeh strategy ap us waqt use karna jab market ki volatility uncertain na ho, aur apna mind bana layna k ap loss ko afford kar saktay ho.
                  Sir main nay Aap ki Stretegy ko buhat deply Study kiya or practicle kar k bhi Dekhaa Sir mujhe lagtaa hai K ye bhi Ek Tarah ki hedging he hai... Coz Hedging main Bhi hum Aisa he kartay hain k Ek trade Agar loss Main ja Rahi ho Tou Market k Sath Chaltay huye Dosri trade open kar letay hain... Laikin Sir nuksaan phr bhi hota hai :(
                   
                  Mind Is like A Parachute - It Is Useful only IF Open
                  • #54 Collapse

                    nice very good information, but its little bit riskey,
                    • #55 Collapse

                      After all forex is risky business so how could be this strategy risk free? But I've not heard of this strategy before and it sound really really strange to me. I think something is either missing or wrong. But it's appreciable thanks for sharing.
                      • #56 Collapse

                        small account holders k liye ye strategy bht ziada risky ha or jab tak market k trend ko na samjhte hun is strategy ko apnane se gurez hi karen jaisa k Abdullah bhai ne btaya k ye ek bht hi risy market ha so becarefull before using this strategy
                         
                        • #57 Collapse

                          Brother yeh method naya traders k liya bilkul b recommended nahi aur yeh trade app gold mein nahi kar sakthey nahi kisi aur comoddities mein is trade k liya appko bohut hi kam spread ka pair dhondna hoga aur app ki investment b bohut bari honi chahiya ta k app lots laga sakhein aur profit kar sakhien aur recovery b....
                          • #58 Collapse

                            hi dear,g han ap na sahi kha aik asan asan cheez ho to krni chahiya but agr wo risky ho to nhi krna chahiya han agr axpiriance ha to kr lani chahiya.
                            • #59 Collapse

                              اصل پيغام ارسال کردہ از: shadowcreeper پيغام ديکھيے
                              Brother yeh method naya traders k liya bilkul b recommended nahi aur yeh trade app gold mein nahi kar sakthey nahi kisi aur comoddities mein is trade k liya appko bohut hi kam spread ka pair dhondna hoga aur app ki investment b bohut bari honi chahiya ta k app lots laga sakhein aur profit kar sakhien aur recovery b....
                              Bhai, yeh new trader k lye recommended kyo nahi hay? new trader is ko karay ga nahi to phir us ko pata kaisay chalay ga is ka? aur may nay yeh kabhi nahi kaha keh ap meri ksi bhe strategy ko live account may try karo, ap demo use karo, agar demo par he karna hay to chahay new ho ya old trader, kia faraq parta hay.
                               
                              • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                              • #60 Collapse

                                yes it is true ke ham forex se acchi khaasi earning kar sakte hein lekin ehtiyat bohat zaruri hey q k ye eik risky amal bhi sabit ho sakta hey is liye meri advice ye hey k ap ko planning ki zada zarurat hey

                                اب آن لائن

                                Working...
                                X