Japan (BoJ) ne apna interest rate 0.25% par barqarar rakha, jo ke aik ihtiyaati approach ko zahir karta hai jabke policymakers mazeed wazeh economic recovery ke indicators ka intezar kar rahe hain. Is faislay ka asar Japanese yen ki qeemat par hota hai, kyunke stable interest rate ka matlab hai ke BoJ abhi tak monetary policy ko tighten karne ke liye tayar nahi hai jabke mulk ko ab bhi kuch economic challenges ka samna hai. Analysts khas tor par Japan ke inflation data aur employment figures ko ghaur se dekh rahe hain, kyunke yeh BoJ ke stance mein tabdeeli ka ishara de sakti hain. Doosri taraf, UK Retail Sales data bhi qareebi taur par dekha ja raha hai. Agar retail performance mazboot raha, toh British pound ko support milegi, jo ke consumer confidence aur economic strength ko zahir karega, lekin agar figures disappoint karti hain, toh currency par downward pressure aasakta hai. Europe mein chalte huye geopolitical tensions aur global economic growth ke hawalay se badhta hua uncertainty, market sentiment ko aur bhi mushkil bana raha hai, jis ki wajah se GBP/JPY mein fluctuations dekhne ko mil rahi hain. Technical chart ko dekhte huye, GBP/JPY upward movement ke liye ek naazuk position mein nazar aa raha hai. Japan se aham data release hone ke baad, yeh asset ab retrace kar raha hai. H4 chart ka analysis yeh dikha raha hai ke pair ne local resistance level 189.10 ko break kiya, jo ke pehle aik rukawat tha. Magar agar hum daily aur H4 charts ka bara view dekhein, toh 189.10 se 191.24 ka zone aik significant resistance area hai. Bullish momentum tabhi qaim ho sakti hai jab price na sirf 191.24 ko break kare, balkay uske upar trading bhi sustain kare. Chand haftay pehle asset ne yeh resistance breach karne ki koshish ki thi aur aik daily white candle banayi thi. Magar, is bullish koshish ke baad aik bearish engulfing pattern bana, jo ke market sentiment mein selling ke taraf tabdeeli ko zahir karta hai. Is development ne aik bearish trend ko shuru kiya jo ke price ko local support zone ke qareeb 183.13 tak le aaya. Key technical indicators ko bhi ghaur se dekhna zaroori hai. Relative Strength Index (RSI) oversold territory ke qareeb hai, jo ke yeh hint deta hai ke zyada downside limited ho sakti hai, jabke moving averages ek potential bearish crossover ka ishara kar rahe hain, jo seller dominance ko mazid barhata hai. Iske ilawa, Fibonacci retracement levels yeh batate hain ke next major support around 182.50 par hai, jo buyers ke liye ke zariye jari ki gayi UK Construction Purchasing Managers' Index July 2024 mein 55.3 tak barh gayi, jo market expectations 52.7 se zyada thi aur June ke 52.2 se barh gayi, jo ke construction sector mein ek significant monthly expansion ko zahir karti Hi. Yeh growth 5 maheenon ki current expansion series ko barhawa de rahi hai, jismein growth rate May 2022 ke baad se sabse tez tha. July mein housing projects mein growth ki wapsi hui, commercial activity mein bhi izafa dekhne ko mila, jabke civil engineering mein do saal aur aadha saal mein sabse tez expansion dekhne ko mili. Is mahine activity
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим