ne dobara upar chadhna shuru kiya jab candle 0.6044 par pohonchi. Is ka sabab ye tha ke candle ab tak RBS area ko 0.6040 par cross nahi kar payi thi. NZD/USD ne Tuesday ko apni rise ko barqarar rakha aur ye trend Friday tak chalta raha. Kul mila kar, NZD/USD lagbhag 95 pips ka izafa dekh chuka hai, aur is waqt is ki position 0.6142 par hai. Jab time frame ka tajziya kiya jaye to nazar aata hai ke Friday ko NZD/USD ne apne qareebi resistance ko 0.6123 par break kar diya, jo ke is ke upward movement ka natija tha. Ye is baat ki nishani hai ke abhi bhi aur zyada upar janay ka mauqa hai. Lekin, mera khayal hai ke upar janay se pehle, is currency pair ko ek correction ka samna hoga. H1 timeframe par ek doji candle pattern ka zahoor is baat ka ishara deta hai ke jald he ek reversal aa sakta hai, jo NZD/USD ko neeche le aaye. Sath hi, candle ab tak supply area ko break nahi kar paayi hai, is liye ye area retracement ke liye munasib hai. Agar NZD/USD neeche jata hai, to mera target 0.6055 par hoga. Jab Ichimoku indicator ka istimaal kar ke dekha jaye, to is waqt candle ki position ab bhi Tenkan Sen aur Kijun Sen lines ke upar hai, jo ke bullish trend ko zahir karti hai. Lekin indicator ab girawat ki taraf ishara kar raha hai. Magar, resistance supply area mein price ko girne se roke ga. Sath hi, dono lines is waqt ek doosre ke upar hain. NZD/USD D1 chart par dekha jaye to recent trading sessions mein kaafi dynamic market structure nazar aata hai, jahan pair abhi tak 0.62375 ke qareeb hai. 0.61400 ke lows se start karte hue, price ne September ke beech mein bounce dekhaya, jo ke double-bottom liquidity zone se support ho rahi thi. Fair value gaps (FVGs) aur distribution liquidity (DLiq) zones ne market ke key reaction points ko identify karne mein madad di. Support level se rally ne price ko upar wali liquidity areas mein dhakel diya, aur 0.62000 level par ek key FVG short-term target ke tor par kaam kar raha tha. Jaise hi price ne is level ko cross kiya, wo thodi consolidation ke baad liquidity zone ke qareeb 0.62400 par breach hui, jo ke strong bullish momentum ka ishara tha. Is breach ne pair ko higher distribution liquidity ka test karne par majboor kiya, jo 0.62550–0.62600 region mein key resistance ke tor par kaam kar raha tha. Is zone se ek sharp rejection aaya, jab sellers ne is level ko aggressively defend kiya, aur price ko wapas 0.62200–0.62300 region ki taraf dhakel diya, jahan is waqt consolidation ho rahi hai
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим