USD/CAD market ne 1.3567 ka support zone cross kiya. Lekin, sellers ziyata mazboot nahi thay magar US news events ne US dollar ko kamzor kar diya. Doosri news events jaise ke BOC ka asar market value par kaafi bara hota hai. BoE ki monetary policy actions, special interest rate changes, trading ko bohat zaiya mutasir kar sakti hain. Jab BoE hawkish stance leti hai, yani ke inflation se larne ke liye rate hikes ka ishara karti hai, to pound aksar US dollar ke muqablay mein mazboot hota hai. Bar'aks, agar BoE dovish position leti hai to market kamzor ho sakta hai, jo selling opportunities pesh kar sakti hain. Traders ko BoE ki policy outlook aur aham officials ke statements par close nazar rakhni chahiye, kyun ke in se mustaqbil ke monetary moves ka andaza hota hai. Yad rahe ke USD/CAD market US news events ke baad tabdeel ho sakti hai, kyun ke Federal Reserve (Fed) US dollar ki value ko shakal dene mein ahem kirdar ada karti hai. Fed ke decisions, interest rates, quantitative easing, aur doosray monetary tools ko duniya bhar ke traders closely monitor karte hain. Ek mazboot dollar aksar downward pressure dalta hai, jo sellers ke liye faida mand hota hai. Lekin agar Fed koi shift signal kare, jaise ke rate hikes ko rokne ka ishara ya dovish tone apnaye, to dollar kamzor ho sakta hai aur market trends ulat sakte hain. Fed ke announcements aur broader US economic outlook par nazar rakhna traders ke liye zaroori hai. Agla hafta buyers ko USD/CAD ka 1.3600 zone dobara cross karne mein madad de sakta hai. Kul mila kar, US economic reports, jisme Non-Farm Payrolls (NFP), inflation data, aur Fed ke announcements shaamil hain, currency pairs ko bohat ziyaa mutasir karte hain. NFP report, jo har mahine ke pehle Jumay ko release hoti hai, US labor market ki sehat ka ahem indicator hoti hai
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим