The GBP/USD ke H1 time frame chart par RSI indicator ne oversold zone (value 30 se neeche) ko dikhaya, jiske baad price ne Friday ko range zone mein adjust karna shuru kiya. H4 time frame chart par RSI indicator ki value 29 hone ki wajah se price correction zaroori hai, jo batata hai ke market close hone se pehle ke 3 candles positive kyon hain. Indicator abhi bhi oversold level se neeche hai. H4 chart ke mutabiq, strong resistance level hone ki wajah se price 1.2600 mark tak barhne ke chances hain. Ye short-term mein positive trading ka mauqa de raha hai, is liye buy karna zaroori hai.Daily time frame chart par GBP/USD price pichle mahine ke shuruat se sharp decline dikhati hai. Friday ko, GBP/USD ne 1.2525 support level ko challenge kiya, aur RSI indicator ne oversold level touch kiya. Support level test karne ke baad price mein halka sa izafa hua, jis ki wajah se GBP/USD ne ek pin bar candle banayi. Is candle ke mutabiq, mein anticipate karta hoon ke price mein temporary izafa hoga.Weekly time frame chart GBP/USD ka negative trend dikhata hai, kyun ke price past kuch weeks se gir rahi hai. Pehle price moving average lines ke upar thi, magar ab yeh neeche hai. Iss hafte, price ne girawat ke dauraan trend line ko test kiya, lekin ek baar mein break karna mushkil hai, is liye price wapas moving average lines ko retouch karegi.GBP/USD ka primary resistance level 1.3102 par hai. Agar market bullish stance mein raha, toh yeh 1.3102 aur 1.3688 ke resistance levels tod sakta hai. Uske baad price 1.4251 tak jaane ke chances hain, jo 3rd resistance level hai. Wahi, major support level 1.2306 par hai. Agar decline hua, toh market 1.1577 support line ko cross kar ke 1.0781 (3rd support level) tak gir sakta hai. Umeed hai ke price aaj in levels tak nahi pohanchegi. Pair ki additional dynamics kal predict karna mushkil hai, kyun ke volatility alag ho sakti hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим