104 USD EUR/USD pair ne aaj ka low 1.0273 aur high 1.0352 lagaya hai aur abhi tak isi range mein trade kar rahi hai jo consolidation phase ko show karta hai RSI 50 level ke upar hai jo thodi bullish strength ko indicate kar raha hai 50 EMA bhi price ke qareeb hai lekin thoda neeche hai jo support ka kaam kar sakta hai market ne kal ka gap bhi refill kar diya hai jo ek natural price adjustment hai lekin abhi tak koi clear breakout ya strong trend formation nazar nahi aa rahi agar price 1.0352 resistance todti hai aur upar sustain karti hai to bullish continuation ka signal milega aur price 1.0400 ki taraf move kar sakti hai doosri taraf agar price neeche girti hai aur 1.0273 ka support todti hai to bearish momentum wapas aa sakta hai aur price 1.0250 ya usse neeche ja sakti hai fundamentals ke hawale se EUR/USD ka trend US dollar index aur ECB ki policies se effect hoga agar US dollar strong hota hai to pair neeche gir sakta hai lekin agar euro demand mein aata hai to price bullish ho sakti hai short-term traders ke liye abhi range breakout ka wait karna behtar hoga agar price 50 EMA ke neeche girti hai to bearish confirmation milega lekin agar price EMA ke upar sustain karti hai to buying ka setup develop ho sakta hai risk management zaroori hai taake unnecessary losses se bacha ja sake aur best trade setup identify ho sake overall market consolidation phase mein hai lekin breakout direction decide karega ke agla move bullish hoga ya bearish traders ko price action aur key levels ka close observation karna hoga taake best entry aur exit points mil sake aur mazeed ap ko apni bhe sath confirmation add karni chahye.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим