EUR/USD, 2023 Assalam Alaikum! Pichle tejarati hafte ke ikhtetam par, euro/dollar ki jodi me kami aayi. Natije ke taur par, Jumah ko qimat 1.0943 ki support satah par band hui. Us satah par koi tez radde amal nahin hua, halankeh tejarati hajam kafi zyada tha. Aaj, qimat me kami aayi hai aur yah ishara shudah satah se toot gayi hai, jo bulls ki kamzori ko zahir karti hai. Agar qimat 1.0943 se niche fix hoti hai to, Americi dollar ke pas faida badhane ka pura mauqa hoga. Lehaza short positons tarjih bani hui hai. Aaj, mai tawaqqo karta hun keh euro/dollar ka joda 1.0943 ki haliya tooti hui muzahmati satah ka dobara test karegi aur fir ibtedayi European trade me nuqsanat ko dobara shuru karegi. Tawaqqo hai keh euro 1.0900 ke hadaf ke ilaqe tak pahunch jayega aur farokht ki nayi lahar ka samna karn se pahle wahan ruk jayega.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим