Trailing stop aik aisa tool hay jo bohat importance rakhta hay aur is ko aik tara ka lock bhi keh saktay hain jo hamaray profits ko lock kar k rakhta hay, jab hum koi bhi trade kholtay hain aur hamaye market par yaqeen nahi hota keh market kaha jaye gi to us soorat may trailing stop ka use kia jata hay, is may jo points set kiay jatay hain to trailing stop un points k baad stop loss laga dayta hay, lakin yeh us soorat may hota hay k market apki favor may jaye.
Baaz dafa aisa hota hay k market peak par ja kar reverse ho jati hay, aur speedy wapis ati hay, aisay time may execution mushkil ho jata hay aur requotes ka masla face karna parta hay, to aisay time may trailing stop bohat kaam ata hay. Is ko laganay ka tareeqa bohat hi saada hay, jab bhi trade open karain chahay instant executed ho ya pending order, us par right click karain, ap ko trailing stop nazar ajaye ga, us par jain aur points set kar dain.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим