Pending orders ki maloomat

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Pending orders ki maloomat
    Kuch newbies ko pata nahi hota keh ap pending orders kis tarha say laga saktay hain, aur unko yeh bhi nahi pata keh order ki modification bhi hoti hay, yeh thread bilkul newbies k lye hay, ta keh wo asani say samajh jain.

    Waisay to ap jab bhi F9 ka button press karo gay to new order ki window khul jaye gi, koi new baat nahi hay, lakin is new window may ap ko aik cheez nazar ati hay, wo hay instant execution, yeh by default hota hay, ab isi may do mazeed option available hotay hain, lakin F9 say kholo gay to sirf aik mazeed option milay ga, aur wo hay pending order ka option.

    jaisa keh is picture may dikhaya gaya hay. Click image for larger version

Name:	pending order.JPG
Views:	1
Size:	50.5 کلوبائٹ
ID:	12461323

    Ab agar ap is pending order ko select karain ya click karain gay to kuch options visible ho jaye gay, jaisa keh is picture may dikhaya gaya hay. Click image for larger version

Name:	pending order1.JPG
Views:	1
Size:	49.6 کلوبائٹ
ID:	12461324

    Is may bhi ap ko 4 option milain gay, jaisa keh is picture may dikhay ga. Click image for larger version

Name:	pending order2.JPG
Views:	1
Size:	48.9 کلوبائٹ
ID:	12461325

    Buy limit, Sell limit, Buy Stop, Sell Stop, yeh char option miltay hain jaisa k oper picture may dikhay ga, ab is ka use bhi bata dayta ho ap ko mukhtasir sa.

    Buy limit: Yeh pending order ap jab laga saktay ho jab market oper ho aur ap neechay say buy ka trade lagana chahtay ho.

    Sell limit: Yeh pending order jab lagay ga jab market neechay ho aur ap oper wali qeemat say trade lagana chahtay ho.

    Buy stop: yeh pending order jab lagay ga jab market oper ho aur mazeed oper say ap lagana chahtay ho keh agar market oper he jati rahay gi to ap ka order hit kar k oper he jati rahay gi.

    Sell Stop: yeh pending order bhi usi soorat may lagay ga jab market neechay gir rahi ho aur ap mazeed neechay say sell ka trade lagana chahtay ho aur ap ko yaqeen ho keh market mazeed giray gi, aisi sorat may sell limit nahi lagay ga, sell stop he lagay ga.

    Ab agar ap neechay k mazeed do option dekho gay to aik ap ko price ka option milay ga, aur dosra expiry ka, price may jab ap oper neechay ka button press karo gay to ap k samnay he ticker par line ajaye gi, aur jo expiry ka option hay wo is lye hay keh agar ap yeh samajhtay ho k market kal tak us level par pohanchay gi jis par ap trade lagana chahtay ho to us date ka laga lo, us date k guzartay he ap ka pending order cancel ho jaye ga.

    Thread lambi ho gai hay, ap ko order modification dosri thread may bata do ga, mazeed question agar ho to pochain.
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    achi sharing ki hai apny iss bar bhi aur i think k sb ko aisi hi malomati sharing krna chahye, jssay sab ko faida milay, pending order new traders k lye confusing hoga shuru main aur apko chahye ka ap online material sy ya demo practice sy faida uthaty rhayn isk ilawa apko apni trade shuru main by default option mutabik hi krni chahye.
    • #3 Collapse

      BIlkul apne yeh jo thread post kiya hey yeh newbie keliye waqai bohot hi usefull thread hey aur is thread ki madad sey newbie forex ko mazeed achi trha se learn karne main kamiyab ho saktey hain aur woh asani sey pending order laga saktey hain.
      • #4 Collapse

        bilkull theak kaha ap ne iss post mee ye new wibes ke laee bohat hi achi baat heis post ki maddad see neo wibe forux koo mallomat achi mill gae orr woo panding order bi lga skte hee
        • #5 Collapse

          dear ager app main se kisi ne pending par trade lagani ho tu pahle new ordar par jaye us k bad trade ko select kary or phir pair ko choise kary us k bad app ko pending ordar select karna parta hai waha pending ordar lagana parta hai.
          • #6 Collapse

            brother bhai ne bohut hi tafseel k saath pending order k tarika batsya hai mein sirf yahan yeh add karna chahta hoon k pending order aik bohut hai dangerous aur risk full order hota hsi kiyun k pending order trader us waqr lagtha hai jab woh computer k samney nahi hota aur kahi gaya howa hota hai brother jab app market ko watch nahi kar rahay hota tab appko pata nahi chaltha k markwt mein kia horaha hai us waqt pending oder open hojata hai tab agar trwnd app k khilaf chala jayee toh bohut nuksaan hots hai
            • #7 Collapse

              pending order ki maloomat k liye humein instaforex ka intikhab krna chahye wo best broker hai
              • #8 Collapse

                Thnx abdullah Sir Aap nay pending orders ko Kafi brief Samjhayaa hai... eek baat Samajh Aa gyi hai k pending order Tab lagana Chahiye k jab market nechay jaa Rahi ho.
                Mind Is like A Parachute - It Is Useful only IF Open
                • #9 Collapse

                  Modification kafi am ka option hai logon k liyeh bohat asani hoti hai local markets main ese option nahi hote usually lekin forex main yeh option bhi hai kyun k pora ka pora system hi computerized hai or well maintained bhi.
                  • #10 Collapse

                    nice share brotehr aap ne achi information share ki hai thank you so much mene bohat se pendings orders lagaye hain lekin un me hamesha buy limit and sell limit he use kiye hain ab sell stop and buy stop ka bhi pata chal gaya hai me in ko bhi ab try zarur kar ke dekhun ga .
                    • #11 Collapse

                      اصل پيغام ارسال کردہ از: hamza786
                      Bro mujhe is mein se sab smjh agaya lekin ek confusion hai .. mujhe sell stop k barey mein zada smjh nhi aya isko zara detail mein smjha dein plz
                      market agar gir rahi ho aur ap ko lagay keh mazeed giray gi, to aisi soorat may ap ka sell limit order lagay ga he nahi, kyo keh market neechay ja rahi ho aur ap market say agay he sell ka order lagaye gay to wo sirf sell stop ka he lagay ga, agar market neechay ja rahi ho aur ap ko lagay keh market oper bounce mar sakti hay to phir ap oper sell limit lagao gay. Market sell limit ko touch kar k yani execute kar k agar wapis neechay ai to phir faida ho jaye ga.
                         
                      • #12 Collapse

                        Bohat acha samjhaya hai aap ne aap theek kehty hain ye baten bohat se logon ko pata nahi hota kay pending order limits/stop ka kia faida hota hai or iska kitna benefit hota hai. Thanks for sharing your knowledge and effort. May Allah bless you with more experiences
                        • #13 Collapse

                          mai apne baat karo tu mai jada tar pending order buy stop and sell stop he laga ta ho limet wala buy aur sell kam he laga ta ho aur jada tar spot trading ker ta ho.
                          • #14 Collapse

                            ap pending order laga kar trade se to free ho jaty ho par as nahi karna chay ap ko market ko watch karty bh rhna chay abdullah bahi na bhot acha explain kya jha taky new trader ko pata chal jy ky pending order ha kya
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              mara dosr mara bahi mara sir muj ayh lagta ha kah ap na yah bat bilkul sahe keh ha kyo kah muja jo abi tak as ka bara ma pata chta ha yah bat muj lag raha ha kah bilkul sage kahe ha ap na.

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X