Kuch newbies ko pata nahi hota keh ap pending orders kis tarha say laga saktay hain, aur unko yeh bhi nahi pata keh order ki modification bhi hoti hay, yeh thread bilkul newbies k lye hay, ta keh wo asani say samajh jain.
Waisay to ap jab bhi F9 ka button press karo gay to new order ki window khul jaye gi, koi new baat nahi hay, lakin is new window may ap ko aik cheez nazar ati hay, wo hay instant execution, yeh by default hota hay, ab isi may do mazeed option available hotay hain, lakin F9 say kholo gay to sirf aik mazeed option milay ga, aur wo hay pending order ka option.
jaisa keh is picture may dikhaya gaya hay.
Ab agar ap is pending order ko select karain ya click karain gay to kuch options visible ho jaye gay, jaisa keh is picture may dikhaya gaya hay.
Is may bhi ap ko 4 option milain gay, jaisa keh is picture may dikhay ga.
Buy limit, Sell limit, Buy Stop, Sell Stop, yeh char option miltay hain jaisa k oper picture may dikhay ga, ab is ka use bhi bata dayta ho ap ko mukhtasir sa.
Buy limit: Yeh pending order ap jab laga saktay ho jab market oper ho aur ap neechay say buy ka trade lagana chahtay ho.
Sell limit: Yeh pending order jab lagay ga jab market neechay ho aur ap oper wali qeemat say trade lagana chahtay ho.
Buy stop: yeh pending order jab lagay ga jab market oper ho aur mazeed oper say ap lagana chahtay ho keh agar market oper he jati rahay gi to ap ka order hit kar k oper he jati rahay gi.
Sell Stop: yeh pending order bhi usi soorat may lagay ga jab market neechay gir rahi ho aur ap mazeed neechay say sell ka trade lagana chahtay ho aur ap ko yaqeen ho keh market mazeed giray gi, aisi sorat may sell limit nahi lagay ga, sell stop he lagay ga.
Ab agar ap neechay k mazeed do option dekho gay to aik ap ko price ka option milay ga, aur dosra expiry ka, price may jab ap oper neechay ka button press karo gay to ap k samnay he ticker par line ajaye gi, aur jo expiry ka option hay wo is lye hay keh agar ap yeh samajhtay ho k market kal tak us level par pohanchay gi jis par ap trade lagana chahtay ho to us date ka laga lo, us date k guzartay he ap ka pending order cancel ho jaye ga.
Thread lambi ho gai hay, ap ko order modification dosri thread may bata do ga, mazeed question agar ho to pochain.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим