Trading with tweezer pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading with tweezer pattern
    Dosto yaha par may ap ko aik chart pattern k baray may batana chahta ho k jab bhi ap yeh pattern dekho to us may kis tarha ki addition karo aur kis tarha say trade lagao. pahlay yeh dekh lo keh tweezer hay kia.

    Click image for larger version

Name:	tweezer.jpg
Views:	1
Size:	97.0 کلوبائٹ
ID:	12461294

    Is may tweezer ko highlight kia hua hay, jab aisa koi tweezer ap ki nazar may ajaye to is ka matlab yeh hota hay keh market nay trend ko temporarily change kar lya hay, is may time frame chota lya hay may nay. Karna kuch aisay hay keh jab tweezer form ho jaye to jo next candle hoti hay ap wha say trade lagao, us candle may jaha say chaho lagao, is may ziada tar chances profits k hotay hain lakin phir bhi ap tight stop loss rakho, kyo keh yeh time frame chota hay.

    Click image for larger version

Name:	after tweezer.jpg
Views:	1
Size:	93.7 کلوبائٹ
ID:	12461295

    Is picture ko dekhain aur mawazna karain, sari TPs hit ki hain is picture may, sirf tweezer ki madad say.
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Tweezer top basically 2 yaa 2 see zyada candles per mushtamil hota hai aur yeh aur un kaa high or low approximately same level per hotee hain aur achi baat yeh hai kee yeh hamien chart mein resistance aur support level kee baree mein batata hai
    • #3 Collapse

      thankyou brother app ne bht hi acha thread start kiya new users k liye ye strategy bht achi ha lekin mai sugges keronga k wo log pehle isko demo me ache se practice karen then reall me use karen ye kuch kuch news fade trading se milta ha
      • #4 Collapse

        اصل پيغام ارسال کردہ از: oahid
        jab aap log chart p bat khrty han tu detail samajh nahee aaty kha .
        Ap k lye bahtar yehi hay keh ap ibtidai forex ki maloomat walay section may ja kar kuch parh lo, aur seekh lo, phir ap trading ki hikmat-e-amali par ao, aisay ap ksi bhi section may ja kar sekhnay ki koshish karo gay to whi hoga jo ap keh rahay ho, is lye shru say learning karo bhai.
           
        • #5 Collapse

          اصل پيغام ارسال کردہ از: mastermind پيغام ديکھيے
          Tweezer top basically 2 yaa 2 see zyada candles per mushtamil hota hai aur yeh aur un kaa high or low approximately same level per hotee hain aur achi baat yeh hai kee yeh hamien chart mein resistance aur support level kee baree mein batata hai
          Brother, zara ap define karain gay keh ap ko kis tarha say resistance aur support ka pata chalta hay tweezer ki madad say? yeh to aik pattern hay jo kabhi agar nazar ajata hay to yeh samajh ajata hay keh market ki expected direction kia hogi.
             
          • #6 Collapse

            Dear may ya strategy use kar chuka hone at start mujhay iss may profit mila lay kin qune kay market ki har wakat aik jaysi halath nahi hoti to bad may mujhay loss par loss hota chala giya yahane tak hay demo may bi loss howa to phir mujhay iss ko chorna para.
            • #7 Collapse

              اصل پيغام ارسال کردہ از: scapgray پيغام ديکھيے
              Dear may ya strategy use kar chuka hone at start mujhay iss may profit mila lay kin qune kay market ki har wakat aik jaysi halath nahi hoti to bad may mujhay loss par loss hota chala giya yahane tak hay demo may bi loss howa to phir mujhay iss ko chorna para.
              Brother, pattern ko us k waqt par pahchan laynay say ap ko koi faida nahi hoga, jab tak k ap trade kholo gay nahi, aur agar trade khol laytay ho to us k baad ap stop loss aur take profit use karo, aur agar sure nahi ho to phir trailing stop use karo, yeh pattern big time frame may dhondo, zaroor faida hoga.
                 
              • #8 Collapse

                Bhai ya to ho nai skta kay sirf profit hi ho har bar aur in pic ki madad sa koi b muwazna nai ho sakta kay next step up hoga ya down so bas luck ki game hay ya forex baqi apki apni merzi jasy ap thek sa forex play kr sakty ho profit kar sakty ho.
                • #9 Collapse

                  اصل پيغام ارسال کردہ از: pk4x1234 پيغام ديکھيے
                  Bhai ya to ho nai skta kay sirf profit hi ho har bar aur in pic ki madad sa koi b muwazna nai ho sakta kay next step up hoga ya down so bas luck ki game hay ya forex baqi apki apni merzi jasy ap thek sa forex play kr sakty ho profit kar sakty ho.
                  Lagta hay ap nay picture dekhi nahi hay, agar picture dekhtay to wazeh ho jata, phir bhi again bata do keh yeh aik pattern hay, aur jab candle complete hoti hain tabhi pattern complete hota hay, jab tweezer par candle close hoti hay aur new candle form honay lagti hay to us may say bhi adhi candle ka wait karo ap, aur phir buy ya sell ki trade lagao, ap k khayal may jitnay bhi forex k analyst baithay hain wo sab baykar hain? un ko luck par khailna chahiyay?
                     
                  • #10 Collapse

                    ahan, strategy to achi dekaye deti hy but yeh khbe use nahi ke hy. Me personally ziada strategies pe jata nahi balky unko follow krta hun jo mujy apni mind ke lehaz se easy and consistent lagy..
                    Last edited by ; 06-02-2014, 10:19 AM.
                    • #11 Collapse

                      App ki strategy achi ho ge per min ne na u abhi tak is ko us ekiya hay aur ahi is ko phie read karchuka ho pr kuch time mila tu si ko apne account per laga ar dekho ga aur is se phir demo per try kareo ga jo result mla app se share zarur karo ga app ki post achi hay thanks .
                      • #12 Collapse

                        Jee forex trading main tweezer patterns bhi kafi kam k hote hain tweezer pattern lekin yeh pattern kisi kisam k level k nazdeek hi behtr kam krte hai to apko tamam candlestick patterns sikhne chaiyeh.
                        • #13 Collapse

                          اصل پيغام ارسال کردہ از: okaradosti پيغام ديکھيے
                          App ki strategy achi ho ge per min ne na u abhi tak is ko us ekiya hay aur ahi is ko phie read karchuka ho pr kuch time mila tu si ko apne account per laga ar dekho ga aur is se phir demo per try kareo ga jo result mla app se share zarur karo ga app ki post achi hay thanks .
                          Ap ka bohat ahsaan hoga agar ap thora time nikal kar meri is thread k baray may soch kar apni demo practice ka hissa bana lain gay, shukria.

                          اصل پيغام ارسال کردہ از: fxtrader پيغام ديکھيے
                          Jee forex trading main tweezer patterns bhi kafi kam k hote hain tweezer pattern lekin yeh pattern kisi kisam k level k nazdeek hi behtr kam krte hai to apko tamam candlestick patterns sikhne chaiyeh.
                          Brother, yeh aik chart pattern hay, dosray chart patterns ki apni ahmiat hay, jab may market dekh raha tha to yeh pattern nazar agaya to may nay is par thread khol li, ab agar dosra pattern nazar aye ga to us ki thread bhe khol lo ga.
                             
                          • #14 Collapse

                            Boohat he achi sharing hai bhai.ye information mery liey kaafi helpful ho gi because main trend kay change hoony ka wait aksar karta hun.M15 time frame bhi mera favorite time frame hai.
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              great posting it is, ap achi posts krty ho jo hamary liye wkai helpful hoti hain, aur mujhe yakeen hai k ap mazid bhi achi achi post share krogay kyonk forex main apko kafi kuch mil sakta hai jisay samjh layny k baad ap dosroonsy share kr sakty hain, lehaza apki iss help out sy dosray traders jo newbie hain unko bhi bahut kuch sekhny ka moka milayga.

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X