Salam to all:)
Aaj main apnay sab traders specially new traders ko indicators ke baray main batana chahta hon. Top 5 indicators jo forex trading main zayada tar use hotay hain wo yeh hain.
1- Stochastics Oscillator: Ye indicator humein market main oversold aur overbought trends pata laganay ke liye istimaal kiya jata hai. Ye khas toor pe tab istimaal hota hai jab market range trading main ho.
2- Moving Average: Moving average kai tarikon se istimaal kiya ja sakta hai. ye asal main market main profitable trends ko search karnay ke liye istimaal hota hai.
3- Bollinger bands: Iss indicators ke 3 bands hotay hain, upper, middle aur lower. Ye humein batatay hain ke market main kis waqt enter hona hai aur kis waqt exit karna hai. matlab high Bollinger band per sell karna aur lower Bollinger band per buy karna aur profit banana.
4- Fibonacci Retracement tool: Ye tool iss liye hota hai ke agar koi trader trading karnay main late ho jata hai ya phir wo start main profit kama kar dobara trade main in hona chahta hai to wo iss tool ko use karta hai. Is ke kuch specific points hotay hain jo table main aa rahay hotay hain jo ke 23.6%, 32.8%, 50%, 61.8% aur 100%.
5- Autochartist chart pattern indicator: iss indicator ke through hum chart patterns pe check kar saktay hain ke kisi bhi currency ki direction kya thi, uss ki duration kitni thi aur uss ki strength kya thi. iss tool ki madad se aik acha trader bohat si achi opportunities ko pick kar ke profit kama sakta hai.
Hope that will help.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим