New trading session ke start per trading ?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    New trading session ke start per trading ?
    Forex market mai har session ke start per market ka kafi different behavior ho sakta hai. iss liye traders ko kafi ehtiat say trading karny ke zaroorat hoti hai. nai session kay strat per baray traders apni position lay rahy hoty hain iss liye market kuch dair kay ziada clear aur predictable nai rahti hai. iss liye jo kam investment waly traders hon tu in kay liye iss trah kay time per best yahi rehta hai ke kuch dair ke liye trading say dor rahy aur jaldi mai trading decision laina say perhaiz Karin tu iss per jo risk ka factor dora ziada ho jata hai traders iss ko avoid kar sakty hain. Maire khayal say ager new session kay start hony ke 30 min tak trade na he ke jiye tu kafi behtar rehta hai

    App ka iss baray mai kiya khayal hai ?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: New trading session ke start per trading ?

    je ma ap ki bat se mukamal itefaq karta houn k jis tarah market ko different sessions ma taqseem kia gia ha to jab new session shuru hota ha to market kafi tezi se move karti ha ya jab sessions overlap hotay hian to market kafi ajeeb react karti ha is lye hamain market ma entry lenay ma ehtyat karni chaye tak ham loss na kar jaye. Is lye k market baaz awqat apna trend change bhi kar leti ha lakin traders pehly hi entry lay chukay hotay hian to wo is waja se loss kar jatay hain is lye traders ko thodi dair tak wait karna chaye k session ma market ka trend kia banta ha aur market ka kia reaction hota ha lakin zaidah tar traders overlapping k waqt trade kartay hian jis ki wajah se woh loss kartay hian to hamain thoda sa wait kar market ma entry leni chaye jab market ka trend clear ho aik direction ki taraf ho
    • #3 Collapse

      Re: New trading session ke start per trading ?

      g han bhai ap ny boht achi bat ki hai hmain apni trdaing se pahly market ko sahi trha se chek karny or apny analysis karny k bad he trading karen or aghr hum sesson ki bat karen tu har sesson k start or end k time par market apko thora fastly or confused karti hai jis main hmari ahtiyat lazmi hoti hai q k jub ap sesson k stah market ko achi trha se smjh kar karty hain tu ap apni trdaing main risk ka factor kam ho jta hai or hum market k according apni trading kar k acha profit eran kar skty hain es liye hmain har seoon k opening or ending time par achi trha se analysis karny k bad trading karni chahye ta k hmain loss na ho or hum apni trading ko bahtr traiky se kar saken
      • #4 Collapse

        Re: New trading session ke start per trading ?

        Je han main ap ki bat par mukamal agree hoon k new trading session kay start par trading karan bohat ziada risky hay kun k is time tmam baray baray trader trading kay liay apni position lay rahay hotay han aor is taran Forex market ki moving bari tezi say ho rahi hoti hay jis say market ki movement ko judge karna bohat difficult hota hay aor market kay up down ka knowledge nahen hota is condition main agar trade ki jay to profit kay bohat kam chance hotay han balkeh loss kay khatrat ziada hotay han is liay new trading session kay start par trading nahen karni chahiay ta keh kisi kisam kay loss say mehfooz raha ja skay aor apni investment ko bhi loss honay say bachaia ja sakay is baray main mearay knowledge main to siraf itna hi hay baqi senior members behtar rehnumai kar saktay han.
        • #5 Collapse

          Re: New trading session ke start per trading ?

          اصل پيغام ارسال کردہ از: b2b پيغام ديکھيے
          Forex market mai har session ke start per market ka kafi different behavior ho sakta hai. iss liye traders ko kafi ehtiat say trading karny ke zaroorat hoti hai. nai session kay strat per baray traders apni position lay rahy hoty hain iss liye market kuch dair kay ziada clear aur predictable nai rahti hai. iss liye jo kam investment waly traders hon tu in kay liye iss trah kay time per best yahi rehta hai ke kuch dair ke liye trading say dor rahy aur jaldi mai trading decision laina say perhaiz Karin tu iss per jo risk ka factor dora ziada ho jata hai traders iss ko avoid kar sakty hain. Maire khayal say ager new session kay start hony ke 30 min tak trade na he ke jiye tu kafi behtar rehta hai

          App ka iss baray mai kiya khayal hai ?
          Assalamualaikum Ji Bhai Jaan agar aap yeah Jante Hain ke sessions ki kya timing hai aur kis time par kaun sa session start hota hai to ja bahut acchi baat hai Pakistani time ke mutabiq 5 Baje us session open hota hai Jisme market ke movement bahut jyada fast hoti hai isliye Hamein is session mein bahut carefully kam karna chahi aur agar aap aap koshish Karon 2 new session ke start hote huye trade na Karen Kyunki isme bahut jyada risk ho sakta hai
          • #6 Collapse

            Re: New trading session ke start per trading ?

            Pure dosa ho gaye hain mujhe forex market Mein kaam karte hue lekin abhi tak rich kyon nahi ban Saka Mujhe to iska ek hi diesel samajh mein Aata Hai Ki Main Shayad Kabhi rich banne ki koshish Nahi Ki Ja money management ka masla hai main jo bhi profit Hota Hai Bus Nikal Ke use kar Leta Hoon Main Bas Ek accha monthly profit banana banata Rehta Hoon
            • #7 Collapse

              Re: New trading session ke start per trading ?

              forex aik online business hain hum is mai kam kar ky ache earning hasial kar sakty hain hum is mai live or sada urdu mai trading karty hain hum is mai pairs or currency py trading karty hain hum is mai part time be kam kar sakty hain hum is mai full time be kam kar sakty hain forex aik asa business hain jo bohat taze sy dunya mai famous ho raha hain hum is mai agar kam karty howe lalch kary gy to hamy loss ho jy ga forex aik online business hain hum isy apna professional career be bana sakty hain forex aik aam business ke tarhe nahi hain is mai hamara koi boss nahi hain
              • #8 Collapse

                Re: New trading session ke start per trading ?

                Aap jis bhi session mein trading Karenge agar aap log hardwork Karte Hain To iska aap logo ko fayda hota hai aur aap log ise Kafi accha profit hassil kar sakte hain
                • #9 Collapse

                  Re: New trading session ke start per trading ?

                  Trading market kay new session kay Start mai trading bohat important hoti hai. Jab bhi koi new session switch hota hai tou woh time aik bohat sensitive time hota hai. Kiyu kay uss waqt prices aik baar zarur tumble hoti hain. Aur uss waqt pata nahi chalta kay prices up ya down kiss taraf movement ker jaen gi. Aisay traders jinn ki trades aisi stage pay hoti hain kay zara si bhi movement unkay accounts ko wash ker sakti hain unkay liye woh time mushkil hota hai. Forex trading market mai basically 3 sessions hotay hain. Market ki opening hamesha Asian session say hoti hai aur second European phir 3rd aur aakhri USA ka session hota hai. Asian market mai ziada ter currencies ka business hota hai. European market mai European currencies kay pairs ziada business kertay hain aur USA market mai crude oil aur gold ki trading ziada hoti hai aur currency pairs mai us dollars kay pairs mai ziada business hota hai. Trading sessions kay change over times pay Agar koi trade open nahi hai tou phir wait kerna he behtar hota hai
                  • #10 Collapse

                    Re: New trading session ke start per trading ?

                    Market sessions open hony par market ki condition koch aur ho sakti hay aur jab koi market session closing time key nazdeek ho to es time market ki condition start hony key condition se difference be ho sakti hay es ley hamari trading ki strategy market key open hony aur close hony par hamesha hi mukhtalif honi chaye, hamari 1 strategy agar koch time work kar leti hay aur bad me ye proper acha work na kary aur hamy loss ho to es ka matlab yahi hota hay key market jab open howi to es time market ki condition aur behavior hamari strategy key mutabeq hi ta magar market session key jab close hony ka time aya to market me bahot hi changing any ki waja se en strategy ne be work karna chord dia, same strategy kesi be complete market session me acha work nahi kar sakti hay.
                    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                    • #11 Collapse

                      New session jab be start hota hai tu us kay leye zarori hai kay ap fundamental analysis karain. Fundamental analysis bhout zarori hai kay ap apni trade sy faida hasil akr sakty hain. Jab session open hota hai or ap ka analysis us time ready hoga tu ap asani sy apni trade ko manage kar sakty hain. sahi tarha sy trade kar sakty hain or behtar tareeqy sy apni trade ko open ya close kar sakty hain. es time market mai taizi hoti hai tu technical or fundamental analysis dunu ap ko kafi kam a sakty hain.

                      اب آن لائن

                      Working...
                      X