Forex market mai har session ke start per market ka kafi different behavior ho sakta hai. iss liye traders ko kafi ehtiat say trading karny ke zaroorat hoti hai. nai session kay strat per baray traders apni position lay rahy hoty hain iss liye market kuch dair kay ziada clear aur predictable nai rahti hai. iss liye jo kam investment waly traders hon tu in kay liye iss trah kay time per best yahi rehta hai ke kuch dair ke liye trading say dor rahy aur jaldi mai trading decision laina say perhaiz Karin tu iss per jo risk ka factor dora ziada ho jata hai traders iss ko avoid kar sakty hain. Maire khayal say ager new session kay start hony ke 30 min tak trade na he ke jiye tu kafi behtar rehta hai
App ka iss baray mai kiya khayal hai ?
App ka iss baray mai kiya khayal hai ?
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим