Assalam o alaikum dear members. Hum her waqt threads or posts mai kuch makhsoos batey kertay hai or forex trading account mai istamaal honay waley tools ka zikar kertay rehtay hai. Jo ka kay sirf forex traders kay aapas mai istamaal honey wali makhsoos terms hai. Forex traders un kay barey mai behtar tor per jaantay hai or new traders ko samjhanay ki apni si koshish kertay rehtay hai.Kissi bhi new trader ko jo abhi new commer hai or forex trading ko newly seekh kay shuru ker raha hai sub sey pehlay un tools ya terms ko samjhna or un ki ehmiat sey waqif hona bohat zaroori hai.Sub sey pehlay tool ya term STOP LOSS/TAKE profit hai. Jab bhi hum trade open kernay kay liye kissi pair ko select kertay hai to aik window open ho jaati hai jiss mai hum buy/sell ki trade open ker saktay hai. Waha per kuch or bhi cheezay hamey nazar aati hai jin mai aik important term stoploss/takeprofit ki hoti hai jissay hum slect kertay hai. Stop loss sey muraad hai kay aap aik limit set karey kay jaha tak agar aap ki trade loss mai jaey to close ho jaey . Agar aap sell ki trade open ker rahey hai to selected price sey kuch ziada price advance mai select ker kay stop loss set hota hai jiss ka matlab hai kay aap ki sell mai lagai gai trade agar reverse ker gai to aap ko utna he loss hoga jo aap ney set kia hai uss kay baad trade auo pay system close ker day ga. Issi tarah take profit bhi select kia jaa sakta hai jaisay kay agar aap ney buy ki trade open kerni hai to aap aik take profit ka target trade ki price sey above select ker saktay hai jaha tak profit honay kay baad aap ki trade auto pay close ho jaey gi.Take profit aap kay profit ko confirm ker daita hai or stop loss aap kay loss ko aap ki marzi kay mutabiq rakh daita hai. Stop Loss/Take Profit ka use bohat acha hai iss say account hamari marzi kay mutabiq ho jata hai or hamara account Forex market kay tabey nahi rehta.Umeed hai aap ko samajh agaya hoga.YE part 1 hai issi tarah mazeed tools pay baat jari rahey gi. Allah aap ka haami o nasir ho.Duaaoo mai yaad rakhiye gaa.(Contin'd)
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим