Is mein koi shak nahi k trade se ziyada trader ki thinking ka amal dakhal hota ha. Jab ek trader trade open karnay se pehlay planning aur management kar k trade open karta ha, to us trade mein loss ka imkan kam hota ha because forex market ek volatile market ha aur is mein step by step lay kar chalna hota ha. Ab agar ek trader ko market ki situations ka pehlay se ilam ha to wo better tor par trading kar sakay ga lekin agar ek trader without any thinking trading karta ha to market ki unpredictable moves ki waja se wo trade mein behtar perform nahi kar sakay ga. Is ko trading psychology kehtay hain.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим