Almost har forex trader na signal ka name suna hoga. Signals market mein ready made trades hoti hain, jo individuals, groups ya websites provide kartay hain, jin mein trade ki opening, closing, stop loss, take profit sab diya hota ha. Ye expert traders khud analysis kar kay dusray traders ko detay hain. Signals free ya paid dono ho saktay hain.
Signals achay ya buray dono ho saktay hain, specially paid signals ziyada tar correct hotay hain. Signals ko apni trade confirm karnay kay liye use kiya ja sakta ha lekin sirf signals par depend karna theek nahi ha. Aik trader ko agar apnay experience, knowledge par trust nahi ha to wo correct faisla nahi lay sakay ga. Signals har dafa sahi sabit bhi nahi hotay aur agar lagataar ghalat signals use kiye to account bhi wash out ho sakta ha. Is liye behtar yahi ha kay apna knowledge, apnay experience ko use kiya jaye. Agar loss bhi hua, to wo experience ban jaye ga.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим