Using Loss As A Weapon
Ess baat ma to koi shak o shuba nahe hai kay forex trading main loss har kise ko hota hai aur loss waly process say har trader guzarta hai. Lekin ess loss ke wajha say kuch log bilkul trading karna chorh daity hain aur kuch log ess loss ke wajha say apny aap ko challenge karty hain aur kamyaabi ka zariya us loss ko bnaaty hain. Loss ko kamyaabi ka zariya bnaana aik ajeeb baat lagti hai lekin agar aap successful traders kay sath milen gy ya unki books ya articles parhin gay to har koi ye baat apse share karta hai k unhon ny loss ko apni kamyaabi ka zariya kesy bnaaya.
Note All Loss Trades:
Jab apko loss ho jaay to aapney sab say pehla kaam ye karna hai kay jitne bhe trades main aapko loss hua hai. Chahey wo zaida hai ya wo loss kam hai unko aap kise jagha par note kar lain ya phir excel ya kise bhe computer program main save kar lain.
Identify Mistakes:
Jab saari trades jo aapkay liey loss ka sabab bani unko ap aik jagha note kar lain to phir aap un kay loss ke wajha talash karen. Ap apney pass notes bnaain kay kis halaat ma aapne wo trade lagai aur kin halaat ke wajha say us trade main aapko loss hua.
Make Plan For Next Time:
Jab aap sary loss ke wajha maloom kar lain aur apko ehsaas ho jaay kay kahan kahan aur kis kis jagha apne ghaltiyan ke hain aur unke wajha sy kitna apko loss hua hai to phir aap un ghaltiyon ka solution nikaalin kay agli baar jab aap market main kaam karen to un ghaltiyon ke wajha say apko loss na ho. Aur esa karty karty aik din aap kamyaab trader bann jaain gay.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим