Forex market mein aik aam shakhs/trader ko market tak access hasil karnay kay liye koi zariya ikhtiyar karna parta ha, jis ko Broker kehtay hain. Brokers aik trading platform faraham kartay hain, jis ko istemal kar kay trader forex market tak rasai hasil kartay hain. Forex traders apni trades se profit hasil kartay hain, jab kay Brokers apna profit 2 methods se hasil kartay hain. 1) Brokers currency pairs par Spread lagatay hain, spread currency ki Bid-Ask (Buying aur Selling price) kay darmiyan difference ko kehtay hain. For example, Eur/Usd ki buy price 1.1610 hai, to same time selling price 1.1615 hogi, jis se broker ko $0.005 pips ka profit hasil hoga. Dekhnay mein ye profit bohot small lagta ha, lekin daily isi spread ki madad se brokers Millions kama letay hain.
2) Brokers transactions par fees charge kartay hain, jesay kay deposit/withdraw par tex etc.
2) Brokers transactions par fees charge kartay hain, jesay kay deposit/withdraw par tex etc.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим