Dear friends Forex trading mein trader sy do tarhan kay rates charge keay jaty hain, aik Spread aur aik Roll over ya Swap ha Kaha Jata hy Spread wo fees ha jo trader kisi bhi order open karnay par pay karta ha, jis se broker earn karta ha. Roll over ya swap interest rate hota ha, jo 24 hours se ziyada opened trades par charge hota ha. Roll over 2 tarhan se kam karta ha, Discount aur Premium. Discount roll over mein agar Buying currency (jo trader buy kar raha ha, buy order) ka interest rate Selling currency se high hota ha, to trader ko roll over discount mil jata ha. Premium Roll over mein is kay opposite hota ha, jis mein agar buying currency ka interest rate selling currency se kam ha, to phir trader se roll over cost receive ki jati ha
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим