Trading plan
Forex trading me hum kisi bhi trader pe ankhen band (blindly) kar key aitebar (trust) nahi kar sakte, is ki waja ye hai k un traders ne jo tareeqakar (plan) apnaya hota hai wo un k leye faida mand hota hoga to is ka hargez matlab ye nahi hai k ye tareeqa kar (plan) hamare leye bhi kaam karega. Hamare jo mind system hai ye aik dosre se bohut hi ziada mukhtalif hai, Aur hum sab ka market jadge karna bohut mukhtalif hai, hamare soch ka meqdar, hamare khatre (risk) ko jadge karne ka satah (level) aur market k bare me information, knowledge aur experience sab aik dosre se mukhtalif hen.
To mandaja bala hedayat ko made nazar rakhte howe hamen apna aik khud se trading plan banane ki zarorat hai aur waqtan pa waqtan hamen is trading plan ko update/improve karte rehna chaheye jese jese hum market se mazeed seekhte hen. To jab bhi hum apna aik trading plan banaye to us k bad hamen apne plan pe sakhti (discipline) se amal karna chaheye. Lekin hamen sirf sakhti (discipline) se kaam nahi chalay ga bulke hamen apne trading plan pe amal karne k leye aik steel ki dewar (wall) ki tarah se sakhti (strong discipline) se amal karna hoga. Is ki waja ye hai k hum ne aik successful trader banna hoga, koi aam traders to nahi jo 95% loss wale traders me shamil hen.
Trading plan hamen ye seekhati hai keh, kia karna hoga? Kese karna hoga? Q karna hoga? aur Kab karna hoga? Trading plan me hum sare points ko cover karte hen, hamare trading tawaqoaat (expectation), trading personality, risk management rules aur trading systems. Jab hum trading plan ko follow karte rahengay to hum se trading me ghaltian (trading mistakes) aur nuqsanant (losses) kam hongi. Lekin agar hum plan pe amal daramad nahi kar pate hen to is ka matlab ye hai k hum is plan ko pehle hi nakam bana chuke hen. Trading plan koi bhi ghalat faisela jo jaldi me kia gaya ho se bachane me madad deta hai. Trading plan hamen jaldbazi aur emotional me kaye gaye faislon se mehfoz rakhti hai.
Trading plan aur trading system me faraq
Trading system
Trading system trading plan se is waja se mukhtalif hai k is me hum sirf trading ka aik pehlo pe hi kaam karte hen, misal k tawar par hum dekhte hen k kab trade enter karna hai aur kab trade exit karna hota hai. Trading system hamare trading plane ka hisa hota hai, lekin ye trading plan nahi hai, jese trading plan k aur bhi bohut sare hise (parts) hen, trading analysis, trading execution aur risk management etc. Market ki situation har waqat badalti rehti hai is waja se aik trader k pas mukhtalif trading system hone chaheye aik trading plan k andar.
Forex me trading plan q zarori hai?
Forex trading bohut hi riski karobar hai. Hamen lazmi apne maqsad (target) tak jane k leye aik rasta chaheye hota hai. Aur us maqsad tak ka jo rahnuma (guid) hota hai wo hamari trading plan hota hai. Agar hum apne raste se batakte hen to wo hamen kazmi guid karen. Lekin agar hamare pas guide (trading plan) hi na hoga to hum kese apne maqsad tak ja sakte hen, jab k hamen trading k raste me bohut sare mushkilat (jaldbazi, jazbaat, lalach) ati hen to is se kese bacha ja sakta hai. Is k laye hamen apne trading nezam me lazmi trading plan shamil karna chaheye. Forex trading me 90% traders ka fail hone ka waja bhi yahi hai k wo trading plan banate nahi hai ya us pe amal nahi kar pate hen. Agar 10% traders kamyab hen to un ka trading plan hi unki kamyabi ka zarya hai. Agar hum chahte hen k hum ne un 10% me shamil hona hai to ye hamare leye bohut zarori hai k hum aik achha trading plan banaye aur us pe sakhti se amal karen. Agar hum aisa nahi karte hen to 90% traders wese hi nakam hen hum bhi un me shamil ho jayengay.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим