ASSALAM ALAIKum
umeed hai ap sub khairiyat sa hongy ,members mera aj thread create karny ka main purpose yehi hai k ap sub members ko bata sakun k hum jub bhe trading karty hain to hamary mind main ye concept zaror hona cheye ..trading pairs 2 tarhan k hoty hain ....
1) slow currencies pairs
2)fast currencies pairs
slow currencies pairs
is main 3 tarhan k pairs hoty hain jis main hum trading karty hain ,,
USD/CHF
EUR/GBP
EUR/USD
in pairs par hum jub bhe trading karty hain hamen in baton ka khas khayal rakhna cheye
1)slow currencies pair par trading beginners k liye perfect hoti hai or is k sath he hum without stoploss use kiye he trading ki ja sakti hai
2) slow pairs par hum long term trade bhe kar sakty hain ..
fast currencies pairs
ye pairs bhe 3 tarhan k he hoty hain ..
GBP/JPY
EUR/JPY
GBP/USD
1)agar hum fast currencies pairs par trading karna chaty hain to hamen cheye k hum phly acha experience gain karen kyun k bina experience k hum kabhi bhe trading fast pairs par nahi kar sakty hain..
2)agar koi member short term trade karna chata hai or daily he acha profit earn karna chata hai to usko cheye k wo fast pairs par trading karen ..
umeed hai ap sub ko thread zaror samjh aye ge or sub ko faida bhe hoga ..,shukriya
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим