Assalam o alaikum dear members and traders. Umeed hai aap sub bohat achay hongay. Pak Forex forum pay join kernay waley new aur old members aksar aik thread banatay rehtay hain jo waqtan fawaqtan contests mai aur normal posting mai bhi saamnay ata rehta hai kay trade kaisay open kerni hai.
Forex trading kertay huay trade open kernay ka tareeka kaar traders ko apnay liye simple aur asaan he rakhna chaiye. Kuch traders trade open kernay kay tareeka kaar ko he apnay liye bohat mushkil bana laitay hain jiss say unhain khud bohat confusion rehti hai aur yeh confusion unn ki apni he paida kerda hoti hai.
Market mai aik pair ya commodity ko select ker lain jiss pay trade open kerni hai. Uss ki movement ko watch kertay rahain. Uss pair ya commodity kay chart ko open ker kay watch karain. Time frames ko small say big mai change kertay jain aur price action ko note kertay jaey. Trends ko observe karain kay previous trend aur current trend mai kia same hai. Price kay swing ko zarur note karain. Phir uss price kay swing aur range kay mutabiq apna lot size aur stop loss kay saath saath take profit bhi apnay paas note ker lain. Aik proper entry point jo selected lot size aur stop loss kay saath saath take profit ko bhi support Karey uss kay mutabiq price anay pay trade open ker lain. Aik trade open kernay mai kuch na kuch time zarur spend kia karain. Jo traders market ko terminal pay open kertay he Green aur red color ko daikh kay he fori tore pay buy ya sell ki trade open ker laitay hain wohi traders apna balance zaya bhi kertay hain. Loss bhi uthatay hain aur achay moqay balance pehlay say loss mai engage honay ki wajah say zaya bhi ker laitay hain

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим