Equity and Spread main kia farq hay?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #16 Collapse

    Re: Equity and Spread main kia farq hay?

    Forex traders kay account mai kuch aisi technical terms show ho rahi hoti hain jinn ka taaluq account balance aur account balance ki taqseem kay saath hota hai. Account balance woh amount ya bonus hota hai jo traders khud deposit kerta hain ya forum pay posting say earn kertay hain. Equity aur balance mai yeh faraq hota hai kay Agar aik trade open ki jaey aur balance 2 $ uss mai chalaya Gaya matlab woh trade spread kay saath total 2 $ loss mai hai tou account balance tou 100$ he hoga laikin equity 98$ reh jaey ga. Issi tarah Agar trade 2 $ profit mai chali gai hai tou bhi balance wohi rahey ga laikin equity 102 $ ho Jaey gi. Ab Agar trade 2 $ loss mai trade close ker day ga tou us Ska balance 98$ ho jaey ga aur Agar 2 $ profit mai trade close ker lay ga tou balance 102 $ hojaey ga.

    Spread broker ka commission hota hai jo kay base aur quote currency ki value kay mutabiq rakha Jata hai aur yeh trader ki taraf say profit ya loss dono pay he daina hota hai. Metals aur energies ya commodities pay fix spread hota hai jo kay unki unit price kay mutabiq hota hai aur spread her lot pay multiply ho raha hota hai
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #17 Collapse

      Re: Equity and Spread main kia farq hay?

      Dear member equity and spread do alag alag Forex ke terms hainIn ka aapas mein comparison to nahin kiya ja sakta lekin Aisa zarur Kiya ja sakta hai ki donon ko alag alag define kiya jaaye.
      Equity. Forex trading me equity se Murad yah hoti hai ki Jab aapki active chal rahi hoti hain un mein profit aur loss donon ko add karke Jo farzi total banta hai usko equity kaha jata Hai jo ki estimated total hota hai na ke actual total. Aapke trading account mein Jab ek tradeplace hoti hai to aapka actual capital aur equity donon mein Fark hota hai aur uski vajah vah activtrades hoti hai.
      Spread. Spread ko broker ne adjust Kiya hota hai different pair ke hisab se Jab aap ek order place karte Hain to aap use waqt dekhte hain ki actual price se upar ya niche aapko order place hota hai yah Jo different hota Hai isko trading mein spread kaha jata hai.
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #18 Collapse

        Re: Equity and Spread main kia farq hay?

        dear jub ap Apne account me invest karte hain tu ap ke pass balance equity or free margin hote hain agr ap ne 100$ invest kiey hain tu ap ke pass 100$ ka balance 100$ ki equity or 100$ ka free margin ho ga equity ap ki jo trades open hoti ha un me jo profit or loss chal raha hota ha wo equity me add ho raha hota ha or open trades me equity ap ka current balance hota ha agr ap ne 100$ ke account per aik trade open ki pr os trade me 10$ ka profit chal raha ha tu ap ki equity 110$ ki ho gi agr 10$ ka loss chal raha ha tu equity 90$ ki ho gi

        spread bid or ask price me jo farak hota ha osay spread kaha jata ha har brokers ka spread different hota ha kuch ka spread zeyda kuch ka kam hota ha jaisa ke eurusd me bid price 1.1345 or ask price 1.1348 ha tu eurusd me 3 pips ka spread ha
        spread variable bhi hotay hain or spread fix bhi hotay hain

        اب آن لائن

        Working...
        X