Ham forex market main jab bhi trade open kerty hain tou hamary mind main earning ka aik target select hota hai lekin hamain jab bhi earning ka target more than fifty percent achieve ho jaey tou her surat trade close ker deni chahiay kabhi bhi target pura achieve hony ka wait na kerain ky yeh forex market hai yahan per market ki movement kisi bhi waqat kisi bhi direction main ho sakti hai tou hamain hamara target jesy hi fifty percent tak achieve ho raha ho trade close ker deni chahiay warna ya tou hamain jo profit hasil ho chuka hota hai woh kam ho jata hai ya phir bahot acha profit hamain mil raha hota hai aur ham trade close nehi kerty sirf target achieve kerny ky liay tou market bari move reverse direction main ker jati hai tou bahot bary profit sy bahot bara loss ho jata hai hamain her surat apni trade ko kesy hi time per close ker dena chahiay jab profit more than fifty percent of selected target hasil ho raha ho
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим