dear friends forex main kuch be sabry trader achi oppertunity ka wait nahi karty hain wo samjhty hain ky ham ko ab koi acha signal mily ga he nahi aur market kahin bhag na jay is say pehly ham jaldi jaldi kar ky order laga lain ta ky hmain profit ho skay asa aksar wo karty hain jin ky pas belence kam hota ha jab wo wrong trade laga laity hain tu account khali ho jata hai phir jab achi oppertunity ati hai tu phir bohut ziada pashtawa karty hain ky kah ham iss achy signal ka wait kar lia hota tu main bohut ziada earn kar laita main yeh batain iss leay bata raha hun kyon ky mere sath yeh sab ho chuka ha jiss waja say ap ko advice kar raha houn ky hamesha ap ko achi say achi oppertunity ka wait karna chahea aur ap ko achi oppertunity bar bar milti hai aik dafa nahi milti iss lea be sabry na bnain saber say kam karain.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим