Dear jo log ais market mai porany hai aun se mera ye sawal hai k agar hum kisi bhi website se koi indicator download karty hai to aus ko apny mt4 mai kaisy install karty hai kun k wo to aik choti si file hai aus ko add karny ka tareeka agar kisi ko pata hai to wo yaha par share kary dy, kun k mainy bahot sari sites par dekha hai indicators hai jin se chart par auto mai pattern draw ho jaty hai aor aun ka bahot acha result hai magar wo mujh se mt4 mai install ni ho rahy agar kisi ko sahe tareeka pata hai to kindly wo yaha par bata dey.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим