Jaiza: Gold Or Crude Oil Ka Comparison

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Jaiza: Gold Or Crude Oil Ka Comparison
    Assalam o alaikum dear members.Umeed hai aap sub khariat sey hongay.Aaj mai jis mozu pay baat kerna chah raha hu wo gold or Crude Oil (CL) ka comparison hai. Pichlay kuch din sey gold or Crude oil (CL) ki price mai bohat ziada fluctuations hui hai.Mai nay jo note kia hai wo gold ki price barhnay sey Cl ki price pay impact hai.Mairay tajziye kay mutabiq jab gold ki price barhti hai tab CL ki price bhi barhna shuru ho jati hai or isi tarah reverse bhi dono taqreebun aik saath hoti hain.Issi tarah jab international market mai usa/China ya Usa/Iran ki koi tensions ki news anay lagti hai tou gold ki buying barhnay sey gold ki prices bhi barhnay lagti hai.Issi tarah phir us ki waja sey CL ki price bhi ultimately barhti hain.

    Jab Cl producing countries ka koi conflict especially KSA,Russia,Cuba,Venezuela ka kahi koi masla banta hai tou Cl barhta hai or saath saath gold bhi barhta hai.

    ab agar ghour kia jaey tou gold basic source of economy strength hai or Cl kisi bhi state ki economy ka driver hai kiyu kay energy kay baghair koi economy survive nahi ker sakti or Cl energy kay liye sub sey zarori hai.yehi waja hai kay gold or Cl saath saath chaltay hain.Traders jab bhi trading in do commodities mai kerna chahey tou dono kay charts,news,signals zaroor parh or daikh lia karey or agar dono mai aik saath trading karey tou double profit aik waqt mai ho saktay hain.

    Ye mairi zaati raey hai kisi ka iss say mutafiq hona zaroori nahi hai.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Jaiza: Gold Or Crude Oil Ka Comparison

    g han bhai ap ny boht achi information share ki hai hmary sath jis main ap ny apny expuernce ki basr par yah bat hum se shre ki hai tu main ap ki bat se garee krta hun forex trading main boht se ayse pairs hain jo aik dosry ks ath main flactuate hoty hain or donu ki moving bhi same ho jati hain esi trha gold or oil ka bhi pairs aye he hai jub hmary molk main gold ki price bharti hai tu sath main oil ki bhi qeemat main iazfa hota hai or jub yah donu nechy girty hain tu aik sath he move karty hain aghr aysi baten hum forex se reagrd note karengy tu he hum es main achi trha se kam kar skty hain or tab he hmain market ko smjhny main asani ho gi or hum acha profit nhi tab he earn kar skty hain
    • #3 Collapse

      Re: Jaiza: Gold Or Crude Oil Ka Comparison

      bhai ap ny boht achi information hmary sath share ki hai or ap ny gold or oil k pairs main jo comparion hai hmary sath share kiya hai tu bhai main ny bhi es bat ko nte kiya hai k gold or oil aik sath move karty hain aghr aik ki qeemat main iazfa hota hai tu dosry main bhi izafa ho jta hai es liye yah asyi news hain jin par hum aghr update rahen tu hum apni trading ko boht acha run kar skty hain q k apko apki market ko smjhny main tab he asasni hoti hai jub ap ayse news ko mind main rakh kar or chek karty rahty hain k aghr aik change howa hai tu disra bhi hoga tu ap apni trading main best trading palnning ks ath boht achi eraning kar sktt hain jis se apko acha profit milny k chances hotty hain
      • #4 Collapse

        Re: Jaiza: Gold Or Crude Oil Ka Comparison

        Jee han dear ap ke rai hamar leay bohat mutabar hay and main us se fully agree bhe karta hun , Gold and Oil dono he bohat risky and faidy mand metal and commodity hain. USD ka tamam market pe raj hay koi pair ho wo USD se interlink hota hay khush directy hain and khush indirectly but link zarore hota hay. Yeh dono bohay he ziada depend karty hain news pe jo ecnomic se related hun. Gold and oil main relation ke bari waja USD ka ujtar charhao hay. Koshish karin ke Gold ko prefer karin OIL pe trade karny ke leay kunky gold ki tecnicall bhe ap handle kar sakty hain but oil bohat difficult hay.
        • #5 Collapse

          Re: Jaiza: Gold Or Crude Oil Ka Comparison

          Gold or Oil dono ki value bohat jaldi change hoti hain is ki waja ye hai k dono ki international tor par bohat value hai or har waqt is ka len den ho raha hota hai. Or ap ko to pata hi hoga k international prices ka asar hota hai market par.
          To jab international tor par in ki trading ho rahi hoti hai to us ka effect is market par b hota hai jis sy is me b in ki kafi prices change hoti rehti hai jis waja sy inki movement kafi tez hoti hai.
          Crude oil ki value zeyada hoti hai q k us ki trading zeyada hai gold ki nisbat sy or trading me agar ap kamyab hona chahty hai to ap ko sb smjhny zroori hai.
          • #6 Collapse

            Re: Jaiza: Gold Or Crude Oil Ka Comparison

            Bahut Sare log hold aur Alpa trading Karte Hain Hum Sab logo ko gold aur Alpa trading Karke Agar achha profit cancel karna hai to iske liye Hum logo ko bahut hi jyada hard work karna chahiye Kyunki gold ki market coffeetales move karti hai aur Akhtar rocket logo ko bahut hi jyada loss hota hai
            Removed by Moderator.
            • #7 Collapse

              Re: Jaiza: Gold Or Crude Oil Ka Comparison

              Gold or crocodile bahut karta hai isliye Hum logo ko crocodile aur gold par Soch Samajh Kar Hi trading Karni chahiye Agar Hum Log Soch Samajh Kar trading Nahin Karenge to hum Logon Ko gold aur crude oil per bahut hi jyada loss ho sakta hai
              • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
              • #8 Collapse

                Re: Jaiza: Gold Or Crude Oil Ka Comparison

                Hamein chahiye ke Hamesha trading karte hue aur Pompa posting karte hue achi post Karen aur post ki quality ko Jarur Dekhen Kitni acchi Hamari post ki quality Hogi Hum utna hi jyada bonus Bana Sakenge post a quantity ke saath 7 posts ki quality ko bhi Jarur dekhna chah he is says Hamara bonus increase hota hai aur hum usse achi earning bhi kar sakte hain

                اب آن لائن

                Working...
                X