Assalam o alaikum dear members.Umeed hai aap sub khariat sey hongay.Aaj mai jis mozu pay baat kerna chah raha hu wo gold or Crude Oil (CL) ka comparison hai. Pichlay kuch din sey gold or Crude oil (CL) ki price mai bohat ziada fluctuations hui hai.Mai nay jo note kia hai wo gold ki price barhnay sey Cl ki price pay impact hai.Mairay tajziye kay mutabiq jab gold ki price barhti hai tab CL ki price bhi barhna shuru ho jati hai or isi tarah reverse bhi dono taqreebun aik saath hoti hain.Issi tarah jab international market mai usa/China ya Usa/Iran ki koi tensions ki news anay lagti hai tou gold ki buying barhnay sey gold ki prices bhi barhnay lagti hai.Issi tarah phir us ki waja sey CL ki price bhi ultimately barhti hain.
Jab Cl producing countries ka koi conflict especially KSA,Russia,Cuba,Venezuela ka kahi koi masla banta hai tou Cl barhta hai or saath saath gold bhi barhta hai.
ab agar ghour kia jaey tou gold basic source of economy strength hai or Cl kisi bhi state ki economy ka driver hai kiyu kay energy kay baghair koi economy survive nahi ker sakti or Cl energy kay liye sub sey zarori hai.yehi waja hai kay gold or Cl saath saath chaltay hain.Traders jab bhi trading in do commodities mai kerna chahey tou dono kay charts,news,signals zaroor parh or daikh lia karey or agar dono mai aik saath trading karey tou double profit aik waqt mai ho saktay hain.
Ye mairi zaati raey hai kisi ka iss say mutafiq hona zaroori nahi hai.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим