Assalam o alaikum dear friends and forum members. Pak forex forum pay kaam kernay waley new ho ya senior ho sub traders hain kiyu kay hum sub yaha trading seekhnay or trading kernay kay liye bonus hasil kernay kay liye aey huay hain.Hum sub kuch aisi mistaes ya ghaltiaa kertay rehtay hain jin ka humey baad mai experience or skilled honay kay per pata chalta hai.Kuch ghaltiaa ya mistakes aisi hain jo sub traders kertay hain.
1. Jald Baazi
Traders bohat jald baaz hotay hain jab kisi pair ya commodity mai movement tez hoti ai tou aksar jald baazi mai trend daikhay baghair kay ye aisay chalay ga ya nahi forun trade open ker laitay hain
2. Volume ya lot size
Traders aksar laalach ki wajah sey volume ya lot size ziada select ker laitay hai jis say baad mai loss ka khadsha her waqt rehta hai
3. Wrong entry
Traders wrong entry ker laitay hai jaisay sell ki bajaey reverse mai trend kay against jaa kay trade open ker laitay hai kay ye trend jab change hoga tab profit ho jaey ga
4. Fori faisla
Traders fori faisla nahi ker patey jab kay forex trading business mai aik aik pip ki value hoti hai or late faisla kernay sey ya tou profit kamm ho jata hai ya loss barh jata hai
5. Metals trading
Traders currencey kay saath saath same time mai metals mai bhi trading kertay hai jaha spreds ziada hotay hai or magins kamm ho jatey hain
6. Margin
traders ko margins ka pata nahi hota kay free margin or margin kia hai or trade open kertay huay in pay volume size ki selection kia asaar daalti hai
Dear members ye wo ghaltiaa hai jo ab tak mujhay experience hua hai kay aksar traders ka account wash kernay ka sabab ban jaati hai.Aap ko bhi jo mistakes pata ho wo zaroor share karey takay hum sub unhey zehan mai rakh kay future mai trading ker sakey or yaha per hamara maqsad poora ho sakey.Yeh mairai zaati raey hai kisi ka iss say mutafiq hona zaroori nahi hai.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим