Interbank market ek khas kisam ki market hoti hai jahan bare financial institutes udhar lete or dete hain ek maksos waqt k liyeh interbank k rate par. Yeh loan bohat hi kum muddat k liyeh hote hain or ziada se ziada ek week tak k liyeh hote hain or yeh aksare banks use krti hain apne cash reserve ko barkarar rakhne k liyeh central bank ki hidayat k mutabik. Jesa k banks ko yeh qanoni hidayat hoti hai k or ek khas amount liquidate yane cash form main apne pass reserve rakhe or jo bank is hidayat ko pura nahi kr patin or interbank market se paisa udhar leti hain apni kami ko pora or law ki requirement ko pura krne k liyeh.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим