Aksar log jab trade start kartay hain tou woh apna trade ka analysis nahin kartay aur jis taraf market ki movement dekhtay hain trade laga detay hain aur joun hi market reverse move karti hai tou doosri taraf bhi trade open kar letay hain aur issi tarah aik hi waqt mein bahut sari trades open kar letay hain aur unn ko recover karna mushkil ho jata hai aur aisa emotions per control na honay ki wajah se hota hai aur analysis na karnay ki wajah se hota hai agar aap se ghalt trade lagi hai tou wait karain aur uss ko kam profit mein close kar kay sabar karain aur phir apni ghalti per sochain aur new trade analysis kar kay lagain aap ka experience kya kehta hai please comments thanks
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим