Agar price humari trade kay mukhalif simat chalny lagy to humara balance kam hona shuru ho jata hay aur humari trades nuqsan main hoti hay es nuqsan ko aik had main rakhna chahiye es ko trade risk kehty hay trade risk kitna hona chahiye es kay mukhtalif tariqay hoty hay stop loss na ho to itna kam hona chahiye keh price ki zra si mukhalif simat main harkat say humara stop loss hit ho jaye aur trade close ho jaye aur na he itna ziada hona chahiye keh agar trend tabdeel ho jaye ya Retracement ho rahi ho to kafi nuqsan kay baad trade close ho jaye es kay liye Support / Resistance ko buniyad bnana behtar rehta hay ya pher pichli candle ki shadow aam tor par new traders ye samjhty hay keh akhir price waps aa jaye gi es liye wo stop loss nahi lagaty ye bohat badi hmaqat hoti hay
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим