Forex trading kafi complicated aur risky business hai. Aur iss ko start karty time he app kay mind mai yeh baat honi chiye ke trading kay doran trades mai app ko profit b ho sakta hai aur loss b. aur apny app ko loss ke liye b ready rakhin aur iss ke planning zaroor kar lain aur Stop loss ko use karny ke adat dalin tu ziada acha rahy ga.
Aksar traders trade mai loss karny kay baad yeh wali mistakes aam tor per karty hain.
1. Loss honay ke baad traders aik dam say nai trade open kar daite hai jis mai analsis ka koi b rule nai hota hai aur who sirf emotion ke base per open ke jate hai. Iss trah ke trading say aur loss ka chance ziada ho jata hai. Behtar hai ke loss hony kay baad kuch time kay liye break lay lain aur phir baad mai nai analsis kay sath trading start Karin.
2. Loss hony ke sorat mai bar bar market mai jaldi jaldi enter nah hon tu acha hai warna overtrading ke waja say app ko bohot loss ho sakta hai.
3. Ager aik trade mai app ko loss ho raha ho aur app ko umeed ho ke kisi khas point say market wapis return kary ge tu is umeed per aik aur trade open na Karin warna risk double ho jiye ga.
4. Loss honay ke sorat mai Forex market kay sath bar bar trade open kar kay fight karnay ke koshish na Karin, humary 50 , 100 dollars kay accounts iss ke direction change nai kar sakty :) . Iss behtar hai ke loss honay ke baad dobara say trend ko understand karny ke koshish Karin.
Iss kay elawa ager app kuch mazeed koi baat add/ share karna chahty hon tu zaroor share karin , iss ka baqi members ko b faida ho sakta hai.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим