Tasuki Gap Down Pattern
Downside tasuki gap candlestick pattern chart price main teen candles k darmeyan downward side par aik strong pattern hai. Pattern ki pehli aur dosri candles bearish hoti hen, jiss k darmeyan downside par aik gap ban jata hai. Pattern ki teesri candle aik bearish candle hoti hai, jo dosri candle k baad ban kar gap main close hoti hai. Pattern ki pehli candle k low price (bashamole shadow or wick) aur dosri candle k high price (bashamole shadow or wick) k darmeyan aik wazih gap ya khali jagah hoti hai. Pattern aik bearish trend continuation pattern hai, jiss main shamil pehli aur dosri candles bearish jab k teesri candle bullish pattern k hote hen. Ye pattern prices main sellers ki mazboti aur downward side par prices ka mazeed move karne ka aik wazih indication hota hai. Pattern prices main aksar aik waqfay k dawran banta hai, ye pattern waqfay k dowran events ya strong news ka sabab banta hai, jiss ki waja se fundamentals asarat assets ki prices ko teezi k sath lower push karte hen.
Pattern Basic Charestirestics
Downside tasuki gap candlestick pattern khas hososeyat ka hamil pattern hai, jiss me pattern se pehle market ki situation, iss ki candlestick ki formation aur sath sath pattern ka market par asar andaz hona shamil hai. Ye pattern prices k bottom position par banne se prices mazeed apne nechay trend ko hi follow karti hai. Pattern k leye market me kuch aham nechay points deye gaye hen;
1. Before Pattern
Downside tasuki gap candlestick pattern chonkeh aik bearish trend continuation pattern hai, iss waja se prices ka lazmi maojood trend bearish hona chaheye. Pattern k aghaz me pehli do candles bhi bearish trend ki akasi hoti hai, jiss k baad bullish candle trend reversal ki nakam koshash karti hai. Ye pattern sideways market me banne par ziada payedar hota hai.
2. Candlesticks
Downside tasuki gap candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k prices k normal sabeqa trend ki akasi karti hai. Pattern ki dosri candle bhi same pehli candle k tarah bearish hoti hai. Lekin ye candle pehli candle k low price se below gap main banti hai. Dosri candle ka high price pehli candle k low price se wazih downside gap main hona chaheye. Pattern ki teesri candle aik bullish candle hoti hai, jo k dosri candle k taqreeban parallal se thora sa above banti hai, lekin close gap main ya gap se below honi chaheye.
3. After Pattern
Downside tasuki gap candlestick pattern complete hone k baad prices apne trend me teezi late hen, jo k same sabeqa trend ko hi follow karte hen. Pattern k baad prices bearish side par move karna shoro karti hai, jis me pattern k banne k dowran thora sa waqfa a chuka hota hai. Pattern me candles k darmeyan gap ziada ahmeyat k hamil hoti hai.
How To Trade
Downside tasuki gap candlestick pattern trading k leye aik strong signal genrate karta hai. Price chart pattern par gap pattern hamesha assets ki bohut ziada high volitilety ki waja se bante hen. Ye volitilety aksar awqat aik khas waqfay k dowran prices par fundamental asarat ki waja se hota hai. Pattern par trading k leye nechay points par amal daraamad karni ki koshash karen;
1. Candles Confirmation
Downside tasuki gap candlestick pattern par trading kabhi bhi confirmation k bagher na karen. Confirmation candles hamre trading ko aik path muhaya karti hai, jiss par market me hum asani se entry kar jate hen. Pattern k banne k baad humen lazmi bearish candle ki zarorat hoti hai, lekin agar ye confirmation candle bullish banti hai, to uss sorat me market me entry se ijtenab karen.
2. Indicators
Downside tasuki gap candlestick pattern par trade entry k leye hum confirmation indicator se bhi kar sakte hen, jiss ka value point lazmi midooint par se nechay hona chaheye. Indicator ziada relaible signal dene ki waja se humen uss ki accuracy ko made nazar rakh kar market me trade entry karni chaheye. Indicator par entry karne se pehle uss ka mowazena price action se bhi karni chaheye.
3. Take Profit / Stop Loss
Downside tasuki gap candlestick pattern par trade entry k sath take profit aur stop loss ko lagana bholna nahi chaheye. Take profit to kuch indicators jaise pivot point, MACD ya fabonacci ki madad se set kia ja sakta hai. Lekin stop loss k leye pattern ka sab se top position jahan par pehli candle bani ho k aghaz se kuch points above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим