Tasuki Gap Down Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Tasuki Gap Down Candlestick Pattern
    Tasuki Gap Down Pattern

    Downside tasuki gap candlestick pattern chart price main teen candles k darmeyan downward side par aik strong pattern hai. Pattern ki pehli aur dosri candles bearish hoti hen, jiss k darmeyan downside par aik gap ban jata hai. Pattern ki teesri candle aik bearish candle hoti hai, jo dosri candle k baad ban kar gap main close hoti hai. Pattern ki pehli candle k low price (bashamole shadow or wick) aur dosri candle k high price (bashamole shadow or wick) k darmeyan aik wazih gap ya khali jagah hoti hai. Pattern aik bearish trend continuation pattern hai, jiss main shamil pehli aur dosri candles bearish jab k teesri candle bullish pattern k hote hen. Ye pattern prices main sellers ki mazboti aur downward side par prices ka mazeed move karne ka aik wazih indication hota hai. Pattern prices main aksar aik waqfay k dawran banta hai, ye pattern waqfay k dowran events ya strong news ka sabab banta hai, jiss ki waja se fundamentals asarat assets ki prices ko teezi k sath lower push karte hen.

    Click image for larger version

Name:	62.png
Views:	2
Size:	12.0 کلوبائٹ
ID:	12600721

    Pattern Basic Charestirestics

    Downside tasuki gap candlestick pattern khas hososeyat ka hamil pattern hai, jiss me pattern se pehle market ki situation, iss ki candlestick ki formation aur sath sath pattern ka market par asar andaz hona shamil hai. Ye pattern prices k bottom position par banne se prices mazeed apne nechay trend ko hi follow karti hai. Pattern k leye market me kuch aham nechay points deye gaye hen;

    1. Before Pattern

    Downside tasuki gap candlestick pattern chonkeh aik bearish trend continuation pattern hai, iss waja se prices ka lazmi maojood trend bearish hona chaheye. Pattern k aghaz me pehli do candles bhi bearish trend ki akasi hoti hai, jiss k baad bullish candle trend reversal ki nakam koshash karti hai. Ye pattern sideways market me banne par ziada payedar hota hai.

    2. Candlesticks

    Downside tasuki gap candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k prices k normal sabeqa trend ki akasi karti hai. Pattern ki dosri candle bhi same pehli candle k tarah bearish hoti hai. Lekin ye candle pehli candle k low price se below gap main banti hai. Dosri candle ka high price pehli candle k low price se wazih downside gap main hona chaheye. Pattern ki teesri candle aik bullish candle hoti hai, jo k dosri candle k taqreeban parallal se thora sa above banti hai, lekin close gap main ya gap se below honi chaheye.


    3. After Pattern


    Downside tasuki gap candlestick pattern complete hone k baad prices apne trend me teezi late hen, jo k same sabeqa trend ko hi follow karte hen. Pattern k baad prices bearish side par move karna shoro karti hai, jis me pattern k banne k dowran thora sa waqfa a chuka hota hai. Pattern me candles k darmeyan gap ziada ahmeyat k hamil hoti hai.

    How To Trade

    Downside tasuki gap candlestick pattern trading k leye aik strong signal genrate karta hai. Price chart pattern par gap pattern hamesha assets ki bohut ziada high volitilety ki waja se bante hen. Ye volitilety aksar awqat aik khas waqfay k dowran prices par fundamental asarat ki waja se hota hai. Pattern par trading k leye nechay points par amal daraamad karni ki koshash karen;

    Click image for larger version

Name:	63.png
Views:	2
Size:	24.8 کلوبائٹ
ID:	12600720

    1. Candles Confirmation

    Downside tasuki gap candlestick pattern par trading kabhi bhi confirmation k bagher na karen. Confirmation candles hamre trading ko aik path muhaya karti hai, jiss par market me hum asani se entry kar jate hen. Pattern k banne k baad humen lazmi bearish candle ki zarorat hoti hai, lekin agar ye confirmation candle bullish banti hai, to uss sorat me market me entry se ijtenab karen.

    2. Indicators

    Downside tasuki gap candlestick pattern par trade entry k leye hum confirmation indicator se bhi kar sakte hen, jiss ka value point lazmi midooint par se nechay hona chaheye. Indicator ziada relaible signal dene ki waja se humen uss ki accuracy ko made nazar rakh kar market me trade entry karni chaheye. Indicator par entry karne se pehle uss ka mowazena price action se bhi karni chaheye.

    3. Take Profit / Stop Loss

    Downside tasuki gap candlestick pattern par trade entry k sath take profit aur stop loss ko lagana bholna nahi chaheye. Take profit to kuch indicators jaise pivot point, MACD ya fabonacci ki madad se set kia ja sakta hai. Lekin stop loss k leye pattern ka sab se top position jahan par pehli candle bani ho k aghaz se kuch points above set karen.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Tasuki Gap Down Candlestick Pattern

    What is tasuki gap down candlestick

    Dear members,
    Tasuki Gap Down Candlestick k bary main bat ho rai hai to yeh aik aisa pattern hota hai jo k bearish trend k waqat market main dekha jata hai is main do candlesticks hoti hain jis mein pehli candlestick aik bearish candle hoti hai jo down gap k sath open hoti hai matlab uski opening price previous candlestick ki closing price sy nichy hoti hai Dusra yeh candle aik bullish candle hoti hai jo pehli candlestick k nichy gap down open karta hai lekin phir sy price upar chali jata hai or candle ke upper shadow ko cover karta hai isi wajah sy isy tasuki gap down candlestick pattern kaha jata hai isi mein traders bearish trend main sell kar sakty hain q k pehli candle ki price action bearish hai lekin dusri candlestick ki price action bullish hai Yeh aik reversal pattern hai or bullish trend ka signal hai
    Click image for larger version

Name:	TasukiGap-bearish.png
Views:	1
Size:	21.3 کلوبائٹ
ID:	12460472

    Formation of tasuki gap down candlestick

    Tasuki Gap Down Candlestick ki formation gap down opening k baad hota hai Yeh pattern do candlesticks sy banta hai Pehli candlestick bearish hota hai yani ki price drop karta hai Dusri candlestick bullish hoti hai yani ki price increase karti hai or pehli candlestick k gap down range me open hota hai Dusri candlestick pehli candlestick k range k andar hi rehti hai is tarah sy yeh pattern bearish trend k beech mein bullish reversal ka indication deta hai is pattern ko confirm karne k liye traders ko dusry candlestick k high or low range ko dekhna hota hai Agar yeh range pehli candlestick ki range sy bahar ho to is ka pattern reversal confirmation ke liye use kiya jata hai

    Importance

    Tasuki gap down jo k aik bearish trend ko confirm karta hai or future price movement ko predict karny mein help karta hai is pattern ko trade karne sy pehly traders ko is k sath sath market trends or price action ko bhi analyse karna chahiye or sahi risk management ke sath trade karni chahiye Is ko identify karny k liye traders ko candlestick charts ka knowledge hona chahiye or candlestick ka interpretation karna ana chahiye Tasuki gap down pattern ki identification mein previous days low current days opening price current days high, bearish candlestick or bullish candlestick k beech ka gap important hai

    how to trade Tasuki gap down candlesticks

    Yeh candlesticks market main humen humari trading ko aik aisa treeka btati hain jin sy hum market main asani sy dahil ho skty hain kuch indicator boht zyada reliable hoty hain jin sy humen aik acha signal mil jata hai or usi according hum apni investment ko dekhty howy aik achi entry ly skty hain humen apni investment k hisab sy or jitna profit humen chahiye hota hai us k hisab sy apna take profit or stop loss set kr asani sy bina kisi risk k market sy nikl jaty hain

    اب آن لائن

    Working...
    X