"PIPs" & its "Calculation"

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    "PIPs" & its "Calculation"
    Assalamu Alaikum Dosto!


    PIPs


    Forex trading k kisi bhi do currencies pairs k darmeyan harkat ko malom karne k leye jo ekaye istemal ki jati hai, uss ko "PIP" or “Percentage in Point” kaha jata hai.all over the world forex trading market main sab se ziadda trading hone wali currencies main American Dollar (USD), Euro (EUR), Japanese Yen (JPY) aur aik khas had tak British Pound (GBP) shamil hen. Ye currencies hamesha pairs ki sorat main trade ki jati hai, jiss main ziada tar currencies ki value ishara (point) baad chaar tak ki value hoti hai, jaise EURUSD ki value 1.1430 hai. Currencies ka hawala (quoted) ishareya k baad fourth decimal point par hai, jiss kamatlab hai k tabdeeli ki sab se choti ikaye ishareya k baad fourth number hai. Sirf Japanese Yen (JPY) ko chor kar baqqi sab par ye rule apply hotta hai. Japanese Yen (JPY) wali currencies pairs main ishareya k baad dosre number pips ki ikaye hotti hai, q k Japanese ki value dosre currencies pairs k muqabele main ziada tez up down hoti hai.
    Jab bhi currencies ki vaue main izzafa ya kami hoti hai, to ye pairs up and down movement karna shoro karti hai. Forex trading market main currencies pairs ki up down harkat pips main hotti hai, iss waja se market main honne wale nafa aur nuqsan (profit and loss) ka hisab bhi pips main hi count kia jatta hai. Pips k mutaleq knowledge rakhna aur iss ki calculation bohut zarorri hai.

    Click image for larger version

Name:	images - 2023-03-18T102452.200.jpeg
Views:	2
Size:	24.9 کلوبائٹ
ID:	12598747

    Base aur Quote Currency


    Currencies ko hmesha pairs ki sorat main trade kia jata hai, iss waja se jab bhi hum aik currency ko buy kartte hen, to automatically dosre currency ko sath main sell kar rahe hotte hen. Currency pairs main 1st currency ko Base Currency jab 2nd currency ko Quote Currency kaha jatta hai. Base currency k buy karnne se quote currency sell hotti hai, aur sell karnne par buy hotti hai. Aggar aik currency jore jaisa k EURUSD ki maojooda qeemat 1.1350 ho to iss ka matlab hai k one (1) EUR 1.1350 USD k barabar hai. Currency pair main base currency ki value hamesha 1 k barabar hoggi aur quote currency ki value maukhtalif hoggi, ye ziadda ya kam ho saktti hai. Q k base currency main hoti hai, iss waja se qoute currency k value updown hogi.
    EURUSD ko maojooda qeemat yanni 1.1350 par buy kartte ho, currency pair bullish harkat karta howa 1.1352 tak jatta hai, aur aap iss point par currency jore k trade ko close kartte ho to iss ka matlab hai k aapko 2 pips hasil howe, kisi currency pairs se nafa aur nuqsan ka ziada ya kam hona traders k selected lot size par munhasir hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images - 2023-03-18T102548.267.jpeg
Views:	2
Size:	20.2 کلوبائٹ
ID:	12598748

    Pipette



    Aap ne aksar Mt4 ya Mt5 plateform main currencies pairs ki 5th digits dekhen hongay. Jab pips ko mazzeed 10 par taqseem kia jaye to uss se jo result ata hai, wo "Pipette" ban jata hai, ya aik pip ka daswan (10th) hisa hotta hai. Wese trading plateforme main ye nazzar to atta hai, lekin iss ki normal trading main koi khas value nahi hotti hai, pips ki asal value 4rth digit tak hi hotti hai. Q k asal pip uss se hi shoro hotta hai. Pipette ka istemal sirf aik hi jaggah hotta hai aur wo hai "Nano accounts" ya "cent account" amin.


    1Pip = 1/10 Pipeete OR
    1Pipeete = 0.1 Pip or 0.00001


    Click image for larger version

Name:	images - 2023-03-18T102416.320.jpeg
Views:	4
Size:	22.6 کلوبائٹ
ID:	12598749

    PIPs Calculation


    Aggar EUR/USD currency pair ki mojoda price 1.1352 hon, to EURUSD currency jore main 1 EUR 1.13852 USD ki value k barabar hotta hai. Ab ye 1.1352 value 11,352 pips k barbar hai. Pips kisi jore ki vlaue ko right side se left side ki taraf count kartta hai. Jesa k, 1.1352 main last 2 digit pehla pip hogga, jo k 2 pips k barabar hogga, isi tarah 5 digit 50 pips ka, 3 digit 300 pips, 1 digit 1000 pips aur last ya left side se pehla digit 10000 pips k barabar hai.
    EURUSD ki aggar maojooda price 1.1350 par aik lot ki position open ki hai, yanni iss currency jore ko yahan par buy kia hai, to iss ka matlab hai k 10000 EUR ko buy karne k leye aap ko 1,1350 USD ki zarrorat hoggi. Currency jore k price 1.1352 par move karne se app ko 2 pips hasil hotte hen, to aap ko iss ko peso main tabdeel karnna zarrori hai. Pehle apko currency jore k pips ko exchange karengay, q k humen 2 pips ka munaffa howa tha.

    1pip = 0.0001 hai


    ((0.0001/1.1350) x 100,000) = 8.8 EUR aik pip ki value hai. Aapko trading main 2 pips ka munafa howa tha aur 1 pip ka munafa 8.8 hai to 2 pips ka munaffa hogga,
    2pips × 8.8 = $17.6

    Note: yahan par aik baat jo not karene wali hai, wo ye k big lot size hamesha trading par asar andaz hota hai, q k lot size k barhane se trading volume ki miqdar barh jati hai, jiss se profit aur loss par bohut gehra asar parta hai. Hamesha Money management aur risk management ko made nazar kar trading karen, business rato raat ameer nahi bana sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	images - 2023-03-18T102525.639.jpeg
Views:	1
Size:	27.3 کلوبائٹ
ID:	12598746
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: &quot;PIPs&quot; &amp; its &quot;Calculation&quot;

    Forex main pip ki cellculation

    Aslam o alikum friends kesy hain aap sab umeed hai k khriyat sy hun gy jesa k forex main pip ka kya kirdar hota hai to Pip price interest point Forex trading main bohat important hota hai jo trading k profits or losses ko calculate karny mein help karta hai dosra Pip ka matlab yeh b hota hai k currency pair k price mein aik choti si change Generally most currency pairs ki price four decimal places tak hoti hai Isliye agar kisi currency pair ki price 1.2345 hai or us ki price 1.2346 ho jati hai to is ka difference aik pip k barabar hai Pip ki calculation aap ko apni trading platform par mil jayegi jahan aap apni trade ki entry or exit point decide kar sakty hain Aap aik currency pair ki price mein pip value ko calculate karne ke liye us currency pair ki current price ko uski decimal place k hisab sy multiply karna hoga
    Click image for larger version

Name:	pip-Final-c67995c57c8449faaedad0509616c471.jpg
Views:	1
Size:	112.5 کلوبائٹ
ID:	12460279


    How to count pips

    PIP ka matlab hai Price Interest Point or yeh foreign exchange Forex market me use hota hai PIP aik unit of measurement hai jo price movements ko calculate karny k liye istemal kiya jata hai pip ki calculation currency pairs k liye hoti hai or ye decimal format mein hoti hai Most currency pairs ke pip ki calculation ka last digit 1/10,000 yaani 0.0001 hota hai Lekin kuch currency pairs k pip ki calculation ka last digit 1/100 yaani 0.01 hoti hai
    Example k k tor py agar aik currency pair ki current price 1.2345 hai or yeh price 1.2346 par jaati hai to is ki pip change 1 hoga Agar price 1.2355 par jati hai to pip change 10 hoga pip ki value calculate karny k liye ye formula use kiya jaata hai
    (for 5-digit quotes)
    1 pip = 0.0001

    (for 3-digit quotes)
    1 pip = 0.01
    Iske alawa pip value depend karta hai ki aap kis lot size main trading kar rahy hain Lot size trading ki amount ko represent karta hai aik standard lot size 100,000 units hota hai mini lot size 10,000 units hota hai, aur micro lot size 1,000 units hota hai.

    To summarize PIP aik unit of measurement hai jo Forex market me price movements ko calculate karny k liye istemal kiya jata hai pip value currency pairs k last digit k zariye calculate kiya jata hai or lot size bhi pip value par inhasar hota hai
    Click image for larger version

Name:	1-pip-value-in-forex.jpg
Views:	3
Size:	23.4 کلوبائٹ
ID:	12460280

    Pips value in forex trading

    Pips aik forex trading term hai or Percentage in Point ka short form hai Yeh currency pair ki price movement ko measure karta hai Forex trading main pip ki value trade ke size or currency pair k price k upar depend karti hai pip value ka formula yeh hota hai:

    Pip Value = (One Pip / Exchange Rate) * Trade Size

    Jab aap forex trading karty hain toh pip ki value bohat important hoti hai q k ye aap k profits or losses ko calculate karny mein help kartai hai For example agar aap USD/JPY currency pair ko trade kar rahy hain or price 110.50 sy 110.51 ho jati hai toh is ka matlab hai ki price mein aik pip ka change hua hai Agar aap 1 lot (100,000 units) ki trade karte hain toh aik pip ki value 10 USD hota hai Agar aap k trade 10 pips profit mein close ho jati hai toh ap ka profit 100 USD hoga

    Details or pips

    Dear members pips ka trade main kya scene hota hai to jab hum to es ka inhisar pairs or lot py depend krta hai jitni bari lot size sy hum trade kren gay utna he pips ki counting zyada ho ge mtlab aik lot agr 0.01 size ki ho ge to 10step move py 10 ka profit ho ga Pips aksar foreign exchange (Forex) trading mein use kiya jata hai lekin is ka istemal dusri markets jaisy k stocks commodities and indices mein bhi kiya jata hai Pips ka matlab hota hai Percentage in Point ya phir Price Interest Point aik pip ka aik chhota sa unit hota hai jis k zariye price movements ko measure kiya jata hai Pip ka size currency pair par depend karta hai q k different currency pairs ki price k changes kesize bhi different hoty hain
    Misal k tor py agar EUR/USD currency pair ki price 1.2500 sy 1.2501 ho jati hai to is ka matlab hai ki price ny 1 pip ka movement kiya hai EUR/USD currency pair main 1 pip ka size 0.0001 hota hai Pips ka calculation aasan hoti hai Jis currency pair ki price main 1 pip ki movement hoti hai us k liye 1 pip ki value ko calculate kiya ja sakta hai Iske liye 1 pip ki value ko base currency mein convert kiya jata hai Agar aap USD account me trading kar rahe hai aur USD/JPY currency pair me 1 pip ka size 0.01 hai, to 1 pip ka value 0.01 JPY hoga Agar aap chahty hain k is value ko USD main convert kary to is k liye JPY/USD exchange rate ka use karty hain

    اب آن لائن

    Working...
    X